1. Rafa-e-haajat ke waqt sharmgaah ko ____________ haath lagana mana hai.
Daayan (right)
Baayan (left)
Dono
2. Sheer-khwaar (breastfed) bachcha agar kapde per peshaab kar de to us kapde ko ___________________ zaruri hai.
Dhona
Paani chidakna
Phenk dena
3. Jooton per lagi najaasat jooton ko __________________ per ragadne se dur ho jaati hai.
Saabun
Mitti
Paani
4. 2 baar sohbat karne se qabl wazu karna _______________ hai.
Waajib
Afzal
Mustahab
5. Haalat-e-Janabat mein zabaan se _________________ karna jayaz hai.
Zikr
Tilawat
Kuch bhi nahi
6. Junbi ke liye wazu karke sona ___________________ hai.
7. Taharat __________________ haath se shuru karni chahiye.
8. Haaizah (menstruating women) paani mein haath dale to paani ________________ rehta hai.
Badbudaar
Paak
Na-paak
9. Biwi se sohbat karne se qabl _____________________ padhni chahiye.
Bismillah
Dua
Surah Fatiha
10. Istinja ke liye mitti ke kam se kam _________________ dhele istemal karna chahiye.
4
5
3
11. Baitul-khala mein Allah ke naamwali cheez saath nahi le jaani chahiye siwaai ta’weez ke.
Sahih
Galat
12. Kapde per mani ya koi dusri ratoobat lag jaaye to pura kapda dhona zaruri hai.
13. Paani ke alawa paak mitti bhi gandagi aur najasat ko dur karti hai.
14. Paak admi wazu ke bagair Quran Majeed padh sakta hai.
15. Janaabat muddat-e-masah khatam kar deti hai.
16. Rafa-e-Haajat ke waqt deewar ki oat mein muh ya peeth qible ke rukh kiya jaa sakta hai.
17. Gobar ya haddi se Istinja karna jaayaz hai.
18. Istinja karne ke baad haath paak karne ke liye kalma-e-shahadat padhna sunnat se saabit hai.
19. Rafa-e-Haajat ke waqt mobile istemaal karna jaayaz hai.
20. Bachchon ko saayedaar jagah per Rafa-e-Haajat karaya jaa sakta hai.
21. Rafa-e-Haajat ke waqt namaz khadi ho jaaye to pehle Rafa-e-Haajat se faarigh ho jaana chahiye.
22. Wazu ke baad aasman ki taraf ungli uthakar kalma shahadat padhna zaruri hai.