Q1) Jis tarah aag lakdiyon ko khatam kardeti hai usi tarah kaunsi cheez nekiyon ko khatam kar deti hai ?
Rashk
Hasad
Competition
Hiqarat
Q2) Allah ki taraf qurb haasil karne ke liye kya zaruri hai ?
Sahih ilm
Ibadat
Shariat ke ehkaam ki pabandi
All of the above
Q3) Rasool Allah (SAW) ko kisi per ghussa aata to kya farmaate ?
Uske haath khaakh aalood hon
Uska chehra khaakh aalood hon
Uski peshaani khaakh aalood hon
Q4) Allah tala farmaate hain ki jab mera bandah __________ ke zariye mera qurb haasil karne ki koshish karta hai to main uska dost ban jaata hoon
Nawafil/ Tahajjud
Sadaqah
Roza
Khidmat-e-Khalq
Q5) Shariat ki hifazat se kya murad hai ?
Khud Shariat ki pabandi karna
Apne gharwalon ko Shariat ka paband karna
Apne ird-gird ke maahol ko jahan tak ho sake Shariat ka paband karna
Q6) Kis amal per Hadith mein ye bataya gaya hai ki subah kare aur shaam mein inteqaal ho jaaye to seedha Jannat mein jayega ?
Tangi ki haalat mein Infaaq karna
Sayyid-al-Istighfaar dil mein padhna
Amal-e-Saaleh karna
Imaan laana
Q7) Eik hi Jung mein (Jung-e-Qudsiyah) ek sahabiyah ke chaaron bete shaheed hue. Sahabiyah ka naam bataein
Sumayyah(RA)
Umme Aiman(RA)
Khansah(RA)
Umm Ammarah(RA)
Q8) Waseelah ke maano mein ___________________ ka maani bhi chupa huwa hai
Raghbat aur dil ki khushi
Majboori
Zabardasti
Q9) Wo kaunse Sahabi the jinhone mehmaan ke khaane ke waqt chiragh bujha diya aur behtereen mezbaani ka sharf haasil kiya ?
Abu Ubaidah (RA)
Abu Salama(RA)
Talha(RA)
Muawiyyah(RA)
Q10) Hasan Basri ke Qaul ke mutabiq kis cheez ki wajah se insaan buraai ki taraf chala jaata hai ?
Takabbur
Hirs/Greed/envy
All of these
Q11) Hasad ki badtareen qism kya hai ?
Jo nemat doosron ko mili hai wo humein bhi mil jaaye
Dusron ko mili nemat per khush na hona
Jo nemat mujhe nahi mili hai wo dusron ko bhi na mile
dusron ko mili hui nemat per mubarakbadi na dena
Q12) Abdullah bin Masood(RA) ne kya farmaaya ki Sahaba-e-ikraam Ramadan ka istiqbaal kaise karte the ?
Infaq mein bohot badh jaate
Ghussa qaboo mein laane ki practice karte
Bhookon ko khana khilaate
Kisi ke liye dil mein badgumani ya qeena ho to wo nikaal dete
Q13) Ayat ke mutabiq mardon ko aurton per qawwam kyu banaya gaya hai ?
Mard apna maal gharwalon per kharch karte hain
Mard jismani aur zehni taur per mazboot hote hain
Wo aurton ko protect karte hain
Q14) Waseelah haasil karne ke liye kya karna hoga ?
Sifarish
Jadd-o-jahad
Buzurgani-e-deen se aqeedat
Q15) Allah tala bohot Ghafoor-ur-Raheem hai wo humein har haal mein baksh dega. Is per yaqeen karnewaale Allah ki kis sifaat ko nazarandaaz(ignore) kar dete hain ?
Al Haleem
Al Adal
Ar Rahmaan
Ar Raoof
Q16) Koi aisa kaam karna jisse Allah ka qurb haasil ho kya kehlaata hai ?
Waseelah
Amal-e-Saaleh
Fadheelah
Q17) Kis lafz ka ek aur maana "Qadr-o-Qeemat ko jaanna hai ?
Jannat
Samawaat
Maghfirat
Infaaq
Q18) Qawwam ka maani bataaein
Haakim
Aamir
Nighraan
Jaabir