Q!) Fahash baaton ki ishaat karnewalon ke liye ________________ azaab hai
Dardnaak
Bechain karnewala
Jahannum ka
Q2) Zina, Amal-e-Qaum-e-Lut, Berhana hona, Jhooti tohmat lagana ye sab....
Fahash kaam hai
Galat kaam hai
Najas kaam hai
Q3) Buraai ko baar baar karne se buraai....
Aam ho jaati hai
Kam ho jaati hai
Khatam ho jaati hai
Q4) Aurat, aurat ke saamne apna satar khol sakti hai
ijazat hai
ijazat nahi hai
Kabhi kabhar aisa kar sakti hai
Q5) Shohar aur biwi ke darmiyaan ki baatein dusron ke saamne karna...
Sabse achi baat hai
Sabse badtareen khayaanat hai
Iski permission di gayi hai
Q6) Shaitaan insaan ko....
Behayaai aur buraai ke kaamon per uksata hai
Neki ke kaamon per uksata hai
Dono jawabaat galat hai
Q7) Jab kisi shakhs se koi ghalati ho jaaye to hamara rawaiyya kaisa hona chahiye ?
Us shakhs ko chod dena chahiye
Ghalati ke baare mein baare mein baar baar yaad dilana chahiye
Uski ghalati ki islaah karna chahiye
Q8) Jin logon per hum ehsaan karte hain agar wo hamari buraai kare to hamara kya maamla hona chahiye ?
Unse apni madad ka haath rok lena chahiye
Unko pehle ki tarah madad karte rehna chahiye
Unko har jagah zaleel karte rehna chahiye
Q9) "Saniy asnain" ka laqab kis Sahabi ko diya gaya ?
Hazrat Usman (RA)
Hazrat Umar (RA)
Hazrat Abu Bakr Siddique (RA)
Q10) Qayamat ke din Nafs-e-Mutmainnah ki awaz kis Sahabi ke liye aayegi ?
Hazrat Ali (RA)
Abdur Rahman bin Aouf (RA)
Hazrat Abu Bakr (RA)
Q11) Jo shakhs chahta hai ki Allah tala us se darguzar se kaam lein to usay chahiye ki wo logon se....
Darguzar ka maamla kare
Naraazgi ikhtiyaar kare
Dono jawabaat durust hai
Q12) Ehsaan ke maane kya hai ?
Khud kam per raazi hoker dusron ko unke haqq se badhkar dena
Sab kuch khud le jaana
Khud badhkar lekar dusron ko kam dena
Q13) Behayaai ke kaamon ko ________________ karke dikhaya jaata hai
Khoobsurat
Badsurat
Ghair maamuli
Q14) Insaan ki fitrat mein __________ rakh di gayi hai
Azaadi
Haya
Behayaai
Q15) Kisi bholi-bhaali Momin aurat per ilzaam lagana...
Kabeera gunaah hai
Saghirah gunaah hai
Mamuli baat hai