Wirasat ki taqseem ka iqtiyar...
a) Allah swt ne apne paas rakha
b) Rasool saw ko diya gaya
c) Malik e jaidaad ko hasil hai
Aaq karne se kya murad hai?
a) Waris ko zyada hissa milna
b) waris ko jaidaad se mehroom karna
c) Waris ko kam hissa milna
Aaq karna kaisa hai?
a) Jaiz
b) Koi harj nahi
c) Na jaiz
Zool al furoos (as hab ul furoon) kaun hain?
a) Wirasat mein inka hissa muqarrar hai
b) Jin ko wirasat mein hissa diya ja sakta hai
c) Jin ko wirasat se mehroom kar diya jata hai
Wirasat ki taqseem sahib e jaidaad ki zindagi mein bhi kiya ja sakta hai
a) True
b) False
Apne maal mein se kitne maal ki wasiyat ki ja sakti hai?
a) Half
b) Full
c) One third
Zindagi mein diya jaanewala maal kya kehlata hai?
a) Wirasat
b) Hiba
c) Wasiyat
Mayyat ke qaeebi mard rishtedaar ko kya kaha jata hai?
a) Asbah
b) Aallati
c) Waseeh
Surah nisa ki kis ayat ko ayat e iris kaha jata hai?
a) 4
b) 6
c) 11
Jin behen bhaiyon ke walid ek ho aur walida alag ho, unko kya kaha jata hai?
a) Aallati
b) Ikhlafi
c) Nasbi