Q1. Hadith ka mafhum hai ke "jisne Allah ki khatir mohabbat ki, Allah ki khatir bugz rakha, Allah ki khatir diya aur Allah hi ki khatir rohk diya. Isne apna deen :-
Mukammal kiya
Islam ko chuna
Bacha liya
Q2. Islami ma'ashre ke qayam hone se hum ____________________________ se bach sakte hai.
Beja rasm wa riwaj ki pabandiyo
Allah ki nafarmani se
Dono jawabat durust hai
Q3. “Zukhruf Alqauli Ghurura” se murad hai :-
Wo tamam chaley aur tadbiren shaitan aur uske sathi jo awaam ke dil mein dalte hai
Aqwali zarey (quotes)
Sone se bhi qimti batein
Q4. Majority is authority :-
Dunyawi usool hai
Deeni aur dunyawi usool hai
Deeni usool hai
Q5. Allah jis ke sath bhalai ka irada karta hai usey :-
Khula rizq aata farmata hai
Auladi narina aata karta hai
Deen ki samjh aata karta hai
Q6. EK neeki ke badle das neekion ka ajr hai. Ek burai ka badla :-
Ek hi hai
Das buraiyon ke barabar hai
Dugna (double) hai
Q7. Aurat shaitan ki alakar (helper) hai yeh soch kis mein pai jati hai ?
Islam mein
Isaiyon mein
Hinduism mein
Q8. Jis tarah luha nazil kiya gaya, usi tarah Allah ne ______________nazil kiya. Shaitan ka pehla waar bhi usi ke khilaaf tha.
Lisaan (zabaan)
Libaas
Khuraak
Q9. Islam mein libaas ka taqaza hai ke libaas satir ho, maheen (transparent) na ho aur chust (fitted) na ho.
Zamane ke sath shrayat badl jati hai
Ghalat
Sahi
Q10. Jisne takabur ke sath libaas pehna qayamat ke din usko kis cheez ka libaas pehnaya jayga ?
Lohe ka
Khardar jhadion ka
Aag ka
Q11. Namaz ke liye :-
Zeenat akhtiyaar karo
Allah ke darbar mein hazri ke liye kisi ahtemaam ki zarurat nahi
Saaf sutra libaas ho chahe phata purana ho
Q12. Mushrikeen kehte the 'agar Allah ko manzoor hota toh hum shirk na karte'. Is tarah keh kar woh :-
Amal na karne ke bahane bana rahe the
Shaitan ki rawish par chal rahe the
Q13. Hadith ke mutabiq “qabr mein khoobsurat sathi ki shakl mein aayega aur qayamat mein sifarish karega”
Namaz
Roza
Quran
Q14. Gaur-o-fikar ki dawat aur aqaid ki islah ka mazmun zyada tar :-
Makki surton mein ayaa hai
Madni surton mein ayaa hai
Ahadith mein ayaa hai
Q15. Fasal ki zakaat kab farz hoti hai ?
Saal guzarne par
Har nai paidawaar par
Barish hone par