Asiya  Abdul Raoof
Quiz von , erstellt am more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

131
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Erstellt von Asiya Abdul Raoof vor mehr als 9 Jahre
Schließen

DAUR-E-QURAN juz 9

Frage 1 von 12

1

Q1. Hadith rasool (s.a.w.s) mein kis cheez ke bare mein yeh kaha gaya hai ke agar wo kisi ke dil mein rai ke dane ke barabar bhi ho toh wo jannat mein dakhil na hoga.

Wähle eine der folgenden:

  • Hasad

  • Takabbur

  • Kinah

Erklärung

Frage 2 von 12

1

Q2. Firaun takabur ke bais imaan na laya, jabke jadugaron mein wo kounsi sifat thi jo unke imaan lane ki wajah bani ?

Wähle eine der folgenden:

  • Aajizi

  • Mahaarat

  • Farmabardari

Erklärung

Frage 3 von 12

1

Q3. Harun (a.s) ne Musa (a.s) ko gusse mein paakar kya keh kar mukhatib kiya ?

Wähle eine der folgenden:

  • Aye mere pyare bhai

  • Aye mere maa ke bete

  • Aye mere chote bhai

Erklärung

Frage 4 von 12

1

Q4. Koh-e-toor par Allah (s.w.t) ne Musa (a.s) ko bulaya take :-

Wähle eine der folgenden:

  • Wo yaksu hokar ibaadat kare

  • Shrya'at ke ahkaamaat diye jae

  • Allah apni tajlli dikhae

Erklärung

Frage 5 von 12

1

Q5. Yaum-al-furqaan kis din ko kehte hai ?

Wähle eine der folgenden:

  • Ghazwa-e-Uhud ka din

  • Ghazwa-e-Badar ka din

  • Ghazwa-e-Khandaq ka din

Erklärung

Frage 6 von 12

1

Q6. Anbiya (a.s) ki dawat pur asr hone ki sub se badi wajah kya thi ?

Wähle eine der folgenden:

  • Unki qaum rah-e-raast par thi

  • Unka apni qaum ko jahannum se darana

  • Unki khair khwahi apni qaum ke liye

Erklärung

Frage 7 von 12

1

Q7. Aaj humari dawat mein asr nahi. Uski badi wajah kya hai ?

Wähle eine der folgenden:

  • Log sunna nahi chahte

  • Humne deen ko mushkil bana kar pesh kiya hai

  • Aaj ke daur mein deen par amal karna mushkil hogaya hai

Erklärung

Frage 8 von 12

1

Q8. Ahed-e-aalast ka kya faida hai ?

Wähle eine der folgenden:

  • Insaan haqq ko pehchan leta hai

  • Insaan ko ashraf-ul-makhluqaat qarar diya gaya

  • Insaan mein dusre insaano ki mohabbat paida hui

Erklärung

Frage 9 von 12

1

Q9. Surah anfaal aayat 176 mein zameen ki taraf jhukne se kya murad hai ?

Wähle eine der folgenden:

  • Aajzi karna

  • Dunya ke faide hasil karna

  • Sajda raiz hona

Erklärung

Frage 10 von 12

1

Q10. Allah (s.w.t) ke ache naamo se kya murad hai ?

Wähle eine der folgenden:

  • Jis ache naam se uska banda use pukare

  • Zaati naam

  • Sifaati naam

Erklärung

Frage 11 von 12

1

Q11. Musalman Allah ke kalime ki sar bulandi ki khatir jang karte hai. Is liye Surah Anfaal mein
“maal-e-ghanimat” ko :-

Wähle eine der folgenden:

  • Nafl (extra) kaha gaya

  • Napasandida kaha gaya

  • Ikhatta karna mana kiya gaya

Erklärung

Frage 12 von 12

1

Q12. Ghazwa-e-Badar ke mauqae par ki gai yeh dua ke “Ya Allah hum mein se jo tera zyada nafarmaan aur rishton ko kaatne wala hai, kal tu use halak karde” yeh dua qubool ki gai.
Yeh dua kisne ki thi ?

Wähle eine der folgenden:

  • Abu Jahal aur quraish ke sardaron ne

  • Musalmano ne

  • Nabi (s.a.w.s) ne

Erklärung