Q1. Maidan-e-jang mein kabirah gunah kya hai ?
Apna giroh chodkar dusre musalman giroh ke sath ja milna
Peet pher kar baghjana
Jangi hikmat ke taur par dushman ko dokha dena
Q2. Mushkil ke waqt agar momin sabr kare aur Allah se qareeb hojae toh samjh lena chahiye ke yeh :-
Azmaish hai
Azaab hai
Amal ka natija hai (consequences of deeds)
Q3. Masjid ki khidmat ka koi ajr hasil na hoga. Agar :-
Imaan billah aur imaan bilaakhirat na ho
Amal na ho
Dono cheezon ka na hona
Q4. Surah At-Taubah mein mushrikeen ko Makkah mein rehne ki mohlat :-
Khatam kardi gai hai
Char mahine ki di gai
Mohlat ke sath sath mohaide (treaties) bhi khatam kar diye gae hai
Q5. Surah At-Taubah aayat 5 mein aaya hai ke “mushrikon ko jahan pao qatal karo” yeh hukum :-
A'aam hai
Makkah ke un mushrikon ke liye hai jo Makkah chodna chahte the
Maidan-e-jang ke liye hai
Q6. Wo tax jo ghair muslim apni jaan wa maal ki hifazat ke badle islami hokumat ko ada karte hai, kya kehlata hai :-
Jizya
Fidya
Qisaas
Q7. Kanz se murad kya hai ?
Momin ka jaiz maal
Wo maal jispar wajib zakaat na nikali gai ho
Nisaab se kam maal jispar zakaat wajib nahi
Q8. Munafiqeen ne Jang-e-Tabuk ke mauqe par kis tarah ka rawaiya ikhtiyar kiya ?
Musalaman ke hausle buland kar rahe the
Nabi (s.a.w.s) ko rokne ki koshish kar rahe the
Kud shirkat na karne ke bahane bana rahe the
Q9. Isayion ne apne ulama ki :-
Baqaida ibaadat ki
Haram halal ka malik samjha
Kabhi ibaadat nahi ki
Q10. Surah At-Taubah aayat 71 mein koun ek dusre ki maddad karte hai ?
Momin mard
Momin aurtey
Momin mard aur momin aurtey
Q11. Allah ki rah mein kaam karne se ji churana kis cheez ki a’alaamat hai ?
Kaheli
Susti
Nifaaq
Q12. Aaj agar hum deen ki rah mein apna waqt aur salaiyat na lagaye toh uska kya nuqsaan hoga ?
Dil par mohr laga di jae gi
Baat samjhne ki salaiyat cheen li jae gi
Dono jawabat durust hai