Q1. Kafir aur gunahgaar log kehte hai ke agar Allah mujhe hidayat karta toh mein muttaqi logon mein hota. Unki ye baat kya zahir karti hai ?
Hidayat dene wala Allah hai
Amal na karne ka bahana hai
Allah jise hidayat de use koi bhi bhatka nahi sakta
Q2. Ye samjhna ke mere halat kabhi behtar nahi hosakte, mere gunah maaf nahi hosakte. Ye kya hai ?
Allah ke ghazb se dar
Allah ki rehmat se mayusi
Apne aap ko gunahgaar samjhna
Q3. Un logon ne Allah ki qadr nahi ki jaisa ke uski qadr ka haqq tha. Is se kya murad hai ?
Allah ki ibaadat khalis na ki
Nafarmani ki rawish par chale
Dono jawabat durust hai
Q4. Aayat :- “Allah ki rehmat se mayus na ho” sunkar aik tabaie ne gunaho ko chod kar apne aapko deen ke liye waqf kar diye. Wo koun the ?
Ali bin Asyad
Al-Qaseem bin Muhammad
Sufiyan bin Alsori
Q5. Allah se dua na mangna kis cheez ki alaamat hai ?
Takabbur
Tawakul
Taqdeer par imaan
Q6. Allah ne hume behtaren saakht par banaya. Hum aam taur par kya karte hai ?
Allah ka shukr ada karte hai
Ayb talash karte hai
Itrate hai
Q7. Log kis tarah dozakh ki taraf lae jae ge ?
Aik aik karke
Giroh da giroh
Do do teen teen ki toliuon mein
Q8. Log rasoloon se lambi lambi behais karte. Iska kya maqsad hota tha ?
Haqq ko daba de
Haqq samne laya jae
Haqq wa batil alag hosake
Q9. Maal ki kushadgi aam taur par kis taraf le jati hai ?
Hasad
Infaaq
Ghaflat
Q10. Firaun aur uski qaum par zillat ka azaab kya zahir karta hai ?
Ye azaab unke kibr aur ghurur ka jawab tha
Tum kitne bhi bade banjao Allah ko aajiz na kar sako ge
Q11. Firaun subah shaam aag par pesh kiya jata hai. Isse kya malum hota hai ?
Azaabe qabr bar haqq hai
Wo bahut hi zalim log the
Allah ki pakad sakht hai
Q12. Har baat par haan mein haan milane wala har achi buri baat par sath dene wala kaisa dost hosakta hai ?
Behtareen
Acha
Bura
Q13. Kuffar taliyan bajate aur shor machate the. Kyun ?
Log Quran na sun sake
Unka mashghala (hobby) tha
Zindagi mein koi maqsad na tha
Q14. Islam lane se kafir ko kya faida hasil hota hai ?
Uske pichle gunah maaf kar diye jate hai
Uske aynda gunah maaf kar diye jate