Q1. Daurane Safar 2 namaze jama ki jae toh :-
Qasr ada karni hogi
Puri ada karni hogi
Dono tarah se padh sakte hai
Q2. Hadeeth mein قيرطان kis ko kaha gaya hai ?
2 bade darya
2 bade pahad
2 bade maidan
Q3. Jo shaks Janaze mein shareek ho aur mayyat dafn karte tak maujood raha, usko kitna sawab ata kiya jata hai ?
1 qairat ke barabar
Adha qairat ke barabar
2 qairat ke barabar
Q4. Daurane hazr 2 namaze jama ki jae toh ?
Q5. Namaze Janazah mein pehli takbeer ke baad kya padha jata hai ?
Sana
Surah Al-Fatiha
Durood Sahreef
Q6. Dua-e-maghfirat chawthi takbeer ke baad padhi jati hai ?
Sahih
Ghalat
Dusri takbeer ke baad padhi jati hai
Q7. Namaze Janazah mein durood shareef kab padha jata hai ?
Pehli takbeer ke baad
Dusri takbeer ke baad
Teesri takbeer ke baad
Q8. Namaze Janazah mein qiraat ka tareeqa kya hai ?
Seeri qiraat
Jehri qiraat
Dono tareeqe durust hai
Q9. Namaze Janazah mein Surah Al-Fatiha ke baad koi surat milana :-
Na jaiz hai
Makrooh hai
Jaiz hai
Q10. Bacche aur bade ke janazah mein padhi jane wali duae mukhtalif hai.
Jee haan
Jee nahi
Koi khaas farq nahi hai
Q11. Namaze Janazah padhne ke liye imaam ko mard (mayyat) ke ___________________ ke paas khade hona chahiye.
Sar ke paas
Wasat mein
Paon ke paas
Q12. Ek se zayad mayyato par :-
Ek hi namaze janazah kafi hai
Alag alag padhna behtar hai
Alag alag padhna lazmi hai
Q13. Namaze Janazah padhne ke liye imaam ko aurat (mayyat) ke ___________________ ke paas khade hona chahiye.
Q14. Namaze Janazah ki :-
Pehli takbeer mein haath uthana chahiye
Pehli aur chawthi takbeer mein haath uthana chahiye
Tamaam takbeeron mein haath uthana chahiye
Q15. Ghareeb hadeeth darasal ___________________________________ hai.
Sahih hadeeth
Hasan hadeeth
Zaeef hadeeth
Q16. Aurat ka masjid mein namaze Janazah ada karna.
Q17. Rasool Allah (s.a.w.s) ne qabrastan mein namaze Janazah padhne ke bare mein kya hukum diya ?
Man'a farmaya
Koi harj nahi
Q18. Qabrastan ki ziyarat ki niyyat kya honi chahiye ?
Maghfirat ki dua
Fatiha khawni
Maut ki yaad
Q19. Bewa ki iddat kitni hai ?
4 mahine
3 mahine
4 mahine 10 din
Q20. Qabron ko zyada ahmiyat dene ka natijah kya hota hai ?
Maut ki yaad dehani hoti hai
Fikre akhiraat paida hoti hai
Shirk ka imkaan paida hota hai