Q1. Zyada qabile aytebar kya hai ? (authentic)
Ahadeeth
Seerat
Dono
Q2. Ayesha (ra) ki kunyat kya hai ?
Umme Abdullah
Umme Abdur Rahman
Umme Umar
Q3. Ayesha (ra) ke pasandida khel ?
Gudiyo se khelna
Jhula jhulna
Dono pasand the
Q4. Kuffare Makkah ne Ayesha (ra) aur Rasool (saws) ke umr ke farq ki wajah se unke nikah per bahut ayteraz kiya.
Sahih
Galat
Q5. Ayesha (ra) ka nikah kisne padhaya ?
Abu Bakr (ra)
Uthman (ra)
Abdullah Bin Umar (ra)
Q6. Mustanad (authentic) riwayat ke mutabiq Ayesha (ra) ka mehr kitna tha ?
500 dirham
1000 dirham
Ek makan
Q7. Ayesha (ra) ke nikah, mehr aur rukhsati se hume kya sikhna chahiye ?
Mehmano ki tawaza apni haisiyat se badh kar kare
Mehr zyada rakha jae
Shadi ko asan banaya jae
Q8. Ayesha (ra) ke nikah ki wajah se Arab jahiliyat ki kis rasm ka khatma huwa ?
Shawwal mein shadi na karna aur muh bole bhai ki beti se nikah nikah na karna
Dulha dulhan ki pehli mulaqat palki mein hona aur rukhsati ke waqt aag jalana
Un sari rasomat ka khatma huwa
Q9. Ayesha (ra) ke puchne per Rasool (saws) ne "asaan hisab" ka kya matlab bataya ?
Jis ka hisab na liya jae
Jis ki buriyon per giraft na ki jae
Jis ki naikion ko nazar andaz kardiya jae
Q10. Mehr muqarar karte waqt kis baat ka lehaz rakha jaega ?
Dulhan ki maali haisiyat
Dulhe ki maali hasiyat
Muashare ka rujhan (trend)