NAMAZ KE MASAEEL {TEST-1}

Beschreibung

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz von Asiya Abdul Raoof, aktualisiert more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Erstellt von Asiya Abdul Raoof vor etwa 9 Jahre
6597
0

Zusammenfassung der Ressource

Frage 1

Frage
Q1. Talib-e-ilm ke liye khush amdeed koun kehta raha ?
Antworten
  • sahaba ikhram
  • taba'een
  • anbiya

Frage 2

Frage
Q2. Hadeeth ke mutabiq jab tak musalman Allah ki kitab aur sunnat Nabi (s.a.w.s) par jame rahenge wo :
Antworten
  • rehmat mein rehenge
  • gumrah na honge
  • imaan ki hifazat karenge

Frage 3

Frage
Q3. Jo log deen sikhne aur sikhane aur Allah ka zikr karne ke liye jama ho, toh unka zikr kahan kiya jata hai ?
Antworten
  • fuqaha ki majlis mein
  • ulama ki mehfil mein
  • muqarrab farishton ke darmiyan

Frage 4

Frage
Q4. Namaz ka tareeqa kahan se malum kiya jaye ?
Antworten
  • Qur'an al kareem
  • Nabi (s.a.w.s) ki sunnat
  • seerat-e-sahaba ikhram

Frage 5

Frage
Q5. Sabse zyada Nabi (s.a.w.s) ke namaz ke tareeqe pe amal karne wale sahabi :-
Antworten
  • Hazrat Abu Bakr (r.a)
  • Hazrat Anas bin Maalik (r.a)
  • Hazrat Kaab bin Rabia (r.a)

Frage 6

Frage
Q6. Surat Nahl ki ayat 44 mein kya kaha gaya hai ?
Antworten
  • Nabi (s.a.w.s) rehmat ul lil alameen hai
  • Nabi (s.a.w.s) ka iteba'a Allah ka iteba'a hai
  • Nabi (s.a.w.s) ahkamat ko wazeh karne wale hai

Frage 7

Frage
Q7. Hadeeth ke mutabiq inkaar karne wala koun hai ?
Antworten
  • kafir
  • mutakabir
  • Nabi (s.a.w.s) ka nafarman

Frage 8

Frage
Q8. Nabi (s.a.w.s) ko asmaano par bula kar kis baat ki farizat ka hukum mila ?
Antworten
  • namaz
  • namaz aur roza
  • arkaan-e-islam

Frage 9

Frage
Q9. Kabat ulllah ki tameer ke mauqe par kis Nabi ne ye dua mangi thi ke "mujhe aur meri aulad ko namaz ka papand bana ?
Antworten
  • Hazrat Ibrahim (a.s)
  • Hazrat Muhammed (s.a.w.s)
  • Hazrat Adam (a.s)

Frage 10

Frage
Q10. Jahannam mein jane wale, Jahannam mein dale jane ka sab se pehla sabab kya batayge ?
Antworten
  • yateem ka maal khane wale the
  • namaz nahi padhte the
  • namaz padhne ke bawajud gunah kabirah ka irteqab karte the

Frage 11

Frage
Q11. Namaz farq karti hai ?
Antworten
  • kufr aur islam mein
  • neek aur bad mein
  • alim aur jahel mein

Frage 12

Frage
Q12. Jannat mein Nabi (s.a.w.s) ka saath pane ka jo nuskha Nabi (s.a.w.s) ne bataya, wo kya hai ?
Antworten
  • silah rehmi
  • farz namazon ki pabandi
  • sajdon ki kasrat

Frage 13

Frage
Q13. Qur'an mein namaz ke saath saath kis cheez se maddad mangne ka hukum milta hai ?
Antworten
  • sabr
  • zakat
  • dua

Frage 14

Frage
Q14. Munafiq ki pehchan kya hai ?
Antworten
  • namaz nahi padhte
  • dikhawe ke liye lambi lambi namaze padhte hai
  • namaz mein susti dikhate hai

Frage 15

Frage
Q15. Niyat se mutaliq mashoor hadeeth kis sahabi se marwi hai ?
Antworten
  • Hazrat Abu Hurairah (r.a)
  • Hazrat Saeed Khudri (r.a)
  • Hazrat Umar bin Khattab (r.a)

Frage 16

Frage
Q16. Allah ta'la qayamat ke din ek Qari, ek Shahid aur ek Sakhi se Jahannam ki aag badhkaye ga. Iski wajah kya hai ?
Antworten
  • badkaar
  • riyakaar
  • takabur karne wale the

Frage 17

Frage
Q17. Bachon ko tark-e-namaz par kis umr mein mara jae ?
Antworten
  • 7
  • 12
  • 10

Frage 18

Frage
Q18. Namaz ke waqt ek farishta kehta hai ke "logon utho aur us aag ko bujhao jisko tumne apne gunahon ki wajah se jalaya hai" Aisa kis waqt ki namaz mein kiya jata hai ?
Antworten
  • Fajr
  • Asr
  • Har namaz

Frage 19

Frage
Q19. Paanch waqt ki namazon ke badle kya hasil hota hai ?
Antworten
  • gunah sagirah se bakshish
  • gunah kabirah se bakshish
  • dono jawab durust hai

Frage 20

Frage
Q20. Sahih Bukhari aur Sahih Muslim dono mein maujud ahadeeth ko kya kaha jata hai ?
Antworten
  • muttafaqun alaih
  • sahihain
  • dono jawab durust hai

Frage 21

Frage
Q21. Ahsan hadeeth mein shirk-e-kafi (dikhawa) ko kis cheez se zyada khatarnak qarar diya gaya hai ?
Antworten
  • shirk-e-akbar
  • qayamat ke zalzale
  • fitne dajjal

Frage 22

Frage
Q22. Paanch waqt ki namaz papandi se ada karne wala, qayamat ke din kis ke saath hoga ?
Antworten
  • shuhada ke saath hoga
  • siddiqeen ke saath hoga
  • dono jawab durust hai

Frage 23

Frage
Q23. Kis namaz ki pabandi Allah ta'la ki hifazat mein le jati hai ?
Antworten
  • Fajr
  • Isha
  • Asr

Frage 24

Frage
Q24. Wo kounsi namaz hai jiska chodna insaan ke liye jaan, maal aur aal ka nuqsaan qarar diya gaya ?
Antworten
  • Fajr
  • Asr
  • Isha

Frage 25

Frage
Q25. Kis namazi ke liye qayamat ke din mukamal noor ki khushkhabri hai ?
Antworten
  • raat ki tareeki mein masjid ane wale
  • namaz-e-ishraq ada karne wale
  • namaz-e-asr bajamat ada karne wale

Frage 26

Frage
Q26. Akhir wasiat Nabi (s.a.w.s) ne farmai ke namaz aur apne _____________ ka khayal rakhe.
Antworten
  • maa baab
  • ahel wa ayal
  • ghulamo aur aurton

Frage 27

Frage
Q27. Munafiqeen par sub se bhari kounsi namaze hai ?
Antworten
  • Isha aur Fajr
  • Fajr aur Asr
  • Asr aur Isha

Frage 28

Frage
Q28. Kounsa namazi Allah ka mulaqati hota hai ?
Antworten
  • jo taweel (long) nawafil ada kare
  • waqt par namaz ada kare
  • jo achi tarah wodhu karke aye

Frage 29

Frage
Q29. Gazwae-Kandaq mein kuffar ke shadid hamle ki wajah se Nabi (s.a.w.s) ki kounsi namaz faut hui ?
Antworten
  • Fajr
  • Asr
  • Isha

Frage 30

Frage
Q30. Jo shaks namaz-e-fajr aur namaz-e-isha bajamat ada kare, usko sawab diya jayega :-
Antworten
  • puri raat ibadat ka
  • adhi raat ibadat ka
  • ek tihai (one third) raat ibadat ka
Zusammenfassung anzeigen Zusammenfassung ausblenden

ähnlicher Inhalt

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof