NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}

Beschreibung

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz von Asiya Abdul Raoof, aktualisiert more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Erstellt von Asiya Abdul Raoof vor mehr als 8 Jahre
2042
0

Zusammenfassung der Ressource

Frage 1

Frage
Q1. Qasr ke kya ma'ane hai ?
Antworten
  • Aadha karna
  • Kami karna
  • Peeche le jana

Frage 2

Frage
Q2. Hadeeth mein qasr namaz ko Allah ki taraf se ________________________ qarar diya gaya hai.
Antworten
  • Aasani
  • Rukhsat
  • Sadqa

Frage 3

Frage
Q3. Qasr namaz kis surat mein padhi jati hai ?
Antworten
  • Halate Kauf (Jang)
  • Halate Safar
  • Dono surton mein

Frage 4

Frage
Q4. Musafir ki tareef kya hai ?
Antworten
  • Jo shaks dur ka safar kare chahe ek shaher/gaw ke andar hi rahe
  • Jo shaks apne shaher/gaw ki abaadi se bahar nikal jae
  • Jo shaks tijarat ki gharz se nikle

Frage 5

Frage
Q5. Rasool (s.a.w.s) ne qasr ke liye kitni musafat (travelling) muqarar farmai ?
Antworten
  • 9 mile
  • 36 mile
  • Koi qa'te (absolute) musafat muqarar nahi farmai

Frage 6

Frage
Q6. Rasool (s.a.w.s) ne qasr ke liye kitni muddat muqarar farmai ?
Antworten
  • 10 din
  • 12 din
  • Koi qa'te (absolute) musafat muqarar nahi farmai

Frage 7

Frage
Q7. Zuhr ke waqt safar shuru karna ho toh Zuhr aur Asr ki namaze kis waqt jama ki jaegi ?
Antworten
  • Zuhr ke waqt
  • Asr ke waqt
  • Dono tarah kiya jasakta hai

Frage 8

Frage
Q8. Maghrib ke waqt, Maghrib aur Ishaa ko jama karna kya kehlata hai ?
Antworten
  • Jama Taqdeem
  • Jama Takheer
  • Jama Salatain

Frage 9

Frage
Q9. 2 namaze bajamaat jama karne ka masnoon tareeqa kya hai ?
Antworten
  • 1 azaan aur 2 iqaamat di jae
  • 2 azaan aur 2 iqaamat di jae
  • 1 azaan aur 1 iqaamat di jae

Frage 10

Frage
Q10. Safar mein WITR ada karni chahiye ?
Antworten
  • Sahih
  • Galat
  • Sunnato ki tarah WITR chodne mein bhi koi harj nahi

Frage 11

Frage
Q11. Jame masjid mein namaz ada karne wala musafir dusron ke saath namaze Jumu'ah ada karsakta hai.
Antworten
  • Jee haan
  • Jee nahi
  • Qasr namaz ada karna behtar hai

Frage 12

Frage
Q12. Zuhr se pehle safar shuru karna hoga toh Zuhr aur Asr ki namaze kis waqt jama ki jaegi ?
Antworten
  • Zuhr ke waqt
  • Asr ke waqt
  • Maghrib se zara pehle

Frage 13

Frage
Q13.Safar ke dauran koun koun si namaze jama ki jasakti hai ?
Antworten
  • Asr aur Magrib
  • Maghrib aur Ishaa
  • Fajr aur Zuhr

Frage 14

Frage
Q14. Safar mein bajamaat namaz ki koi ahmiyat nahi hai.
Antworten
  • Sahih
  • Galat
  • Waqt bachane ke liye infiradi namaz padhna behtar hai

Frage 15

Frage
Q15. Safar mein :-
Antworten
  • Farz aur witr padh lena kafi hai
  • Sunnate nafil ka darja rakhti hai
  • Dono jawabaat durust hai

Frage 16

Frage
Q16. Sawari mein namaz padhne ke liye qible ka kya mu'amla kiya jaega ?
Antworten
  • Agar mumkin ho toh sawari ka rukh qible ki taraf kar lena chahiye
  • Agar mumkin na ho toh sawari jis rukh par ho usi rukh par namaz ada karli jae
  • Dono jawabaat durust hai

Frage 17

Frage
Q17. Safinah, Bahri jahaaz, Hawai jahaaz, Rail ghadi waghaira mein farz namaz ada karna :-
Antworten
  • Na-jaiz hai
  • Jaiz hai
  • Makrooh hai

Frage 18

Frage
Q18. Nabi (s.a.w.s) ne Fateh-Makkah ke mauqe par 18 din tak Makkah mein qiyam ke dauran:-
Antworten
  • 2-2 rakate padhae
  • Namaze Maghrib ke siwa 2-2 rakate padhae
  • Zuhr, Asr aur Ishaa mein 4-4 rakate padhae

Frage 19

Frage
Q19. Sawari mein farz namaz :-
Antworten
  • Mumkin ho toh khade hokar padhi jae
  • Baith kar padhi jae
  • Dono jawabaat durust hai

Frage 20

Frage
Q20. Makkah mein musafir muqtadi ko muqeem imaam ke peeche :-
Antworten
  • Puri namaz ada karni chahiye
  • Qasr namaz ada karni chahiye
  • Jis tarah bhi padhe koi harj nahi
Zusammenfassung anzeigen Zusammenfassung ausblenden

ähnlicher Inhalt

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof