Q1. Rafdi firqa apne aapko kiska wafadar kehta tha ?
Ayesha (ra)
Abu Bakr (ra)
Ali (ra)
Q2. Rasool (saws) apni azwaj ko kisi ghalti (khilaf ula baat) per bhi nahi tokte the ?
Jee haan
Jee nahi
Q3. Ayesha (ra) ne ye kis ke bare mein farmaya "mein ne unse zyada uthne baitne ke taur tareeqe mein Rasool (saws) se miltajhulta (similar) kisi aur ko nahi dekha"
Zainab Binte Mohammad (ra)
Umme Khultum Binte Mohammad (ra)
Fatimah Binte Mohammad (ra)
Q4. Ayesha (ra) aur Fatima (ra) ke apas ke taluqat chand wajoohat (reasons) kibina per ache nahi the ?
Sahi
Ghalat
Q5. Waqiah Ifk kab pesh aya ?
5 hijri
2 hijri
9 hijri
Q6. Ghazwae Banu Mustalaq mein munafiqeen kitni tedad mein shareek huwe ?
Kam tedad mein
Zyada tedad mein
Q7. Ayesha (ra) ne har kis se udhar liya tha ?
Asma Binte Abu Bakr (ra)
Umme Salma (ra)
Zainab Binte Jahash (ra)
Q8. Ghazwae banu Mustalaq ke dauran kisne musalmano ko apas mein ladwane ki koshish ki ?
Abu Sufyan
Ikrama Bin Abu Jahl
Abdullah Bin Ubay
Q9. Ayesha (ra) jab qafile se piche rehgai toh unko koun qafile tak lae ?
Anas (ra)
Hatib (ra)
Safwaan (ra)
Q10. Ayesha (ra) ne farmaya "mein toh Sabr Jameel karongi aur Allah hi maddad karne wala hai" Ye kis payghambar ke alfaz hai jo Ayesha (ra) ne duhrae ?
Yaqub (as)
Zakariya (as)
Ibrahim (as)