1. Taharat haasil karne walon ko Allah (SWT) pasand karta hai.
Sahih
Galat
2. الطهور شطر الايمان :-
3. Islam ki ye khoobi deegar mazahib per sabse badi hai ki Islam pakizi ki taleem deta hai.
4. Isaaeeyat (Christians) mein paak rehna aur paaki haasil karna pasandidah amal hai
5. Ehle-Madinah ki taareef ki gayi is bina per ki wo paani se taharat haasil karte the.
6. Daawat-e-Deen ke liye paaki ikhtiyaar karne ki takeed ki gayi hai.
7. Aap (SAW) ne farmaya “Pwaaganda – baal rehna, shaitaani fail hai”
8. Allah ke rasool (SAW) ne taharat ke masaael khutba mein irshaad farmaaya.
9. Munkireene-Hadees taharat se mutallik ahadees ko lekar hadees ka inkaar karte hai.
10.Ghusl ke liye neeyat ke saath dua padhni bhi zaruri hai.
11.Wuzu (taharat) karne se haath aur paaon ke kabeera gunnah maaf hojaate hain.
12.Taharat namaz ki kunji (key) hai.
13.Peshaab ke chhinton se gaflat baratne per azaab-e-Qabr hota hai.
14.Paani agar apna rang ya zayka badal de to paak hojaata hai.
15. Mazi kharij hone se ghusl waajib hojaata hai.
16. Mayyat ko ghusl dene ke baad ghusl karna waajib hai.
17. Ek khatoon, haalat-e-janaabat mein hai, bachche ko sakht bhook lagi hai to
a) Wo pehle wuzu karegi aur bachche ko doodh pilaayegi
b) Uske liye pehle ghusl karna zaruri hai
c) Wo bagair wuzu doodh pila sakti hai
18. Khatoon A raat ki duaaein padhna bhool gayi aur ab wo haalat-e-janaabat mein hai to
a) Wo bagair padhe so jayegi
b) Wo pehle wuzu karegi
c) Wo duaaein padh sakti hai
19. Aapke bachche ne Quran uthaya aur Quran neeche girne ka khatra hai, aap haalat-e-haiz mein hai to
a) Aap kisi dusre fard ko awaaz dengi ki Quran pakad lo
b) Aap pehle wuzu karengi phir pakdengi
c) Aap khud bachche ke haath se Quran le lengi
20. Sakht sardi ka mausam hai, khatoon A ne wuzu karke socks pehen rakhe hain. Ab wo dobara Rafa-e-haajat se faarigh hokar namaz ke liye
a) Apne socks utarkar wuzu karegi
b) Apne socks per masah karegi
c) Dono jawabaat durust hai
21. Khatoon B haalat-e-janaabat mein hai, curfew laga hai aur paani maujud nahi
a) Unke liye namaz maaf hogi
b) Wo paani ka intezaar karegi
c) Wo tayyammum karke namaz ada karegi
22. Khatoon A ne roza rakha, neeyat bhi karli, Maghrib ki azaan se do ghante pehle unhein haiz aa geeya to
a) Azaan tak kuch nahi kha sakti
b) Unka roza mukammal ho jayega
c) Unhein us roze ki qaza ada karni hogi
23. Khatoon B haalat-e-janaabat mein sehri ke liye uthi lekin waqt aisa hai ki sehri khaaye to ghusl ka waqt nahi to
a) wo sehri kha legi, ghusl baad main karegi
b) wo ghusl karegi kyunki haalat-e-janaabat mein roza nahi rakha jaa sakta
c) wo roza hi nahi rakhegi
24. Khatoon A, Asar ki namaz, aankh lag jaane ki wajah se waqt per ada nahi kar sake. Jab neend se bedaar hui to unhein haiz aa gaya to
a) Unper se Asar ki namaz saaqit ho jayegi (namaz padhna zaruri nahi)
b) Taharat haasil karne ke baad, wo Asar ki namaz padhegi
c) Dono jawabaat durust hain
25. Haalat-e-haiz mein ye kaam nahi kiye jaa sakte :-
a) Duaaein aur zikr-o-azkaar
b) Roza, namaz, hajj, zakaat, miya-biwi ka taaluq
c) Namaz, roza, tawaaf, sohbat
26. Haalat-e-haiz mein taharat ke baad agar miya-biwi ka taaluq qayam ho jaaye to kaffara
a) 1 dinar
b) Nisf (half) dinar
c) Kuch bhi nahi