Q1) Hadith ke mutabiq maut ke baad Qabr mein musalman gawahi deta hai ki "Allah ke siwa koi mabood barhaqq nahi". Iske liye aayat mein kya lafz istemaal hua hai ?
Qaul al Maaroof
Qaul al Hasanah
Qaul as Saabit
Qaul as Sadeeda
Q2) Hazrat Abu Bakr(RA) ke daur-e-Khilafat mein Quran ko jama karne ke liye kis sahabi ko zimmedar ya head banaya gaya ?
Zaid bin Harisah(RA)
Zaid bin Saabit(RA)
Umamah bin Saabit(RA)
Abu Hurairah (RA)
Q3) Khajoor ke darakht ki shaakhein aasmaan mein bohot bulandi tak gayi hoti hai...Isse kya muraad hai ?
A) Momin ek ke baad ek nekiyaan karta chala jaata hai
B) Nekiyaan qubooliyat ka darjah paa leti hain
C) Momin se uske ilm ki wajah se log rashk karte hain
A and B
B and C
A and C
None of the above
Q4) Nabi Akram(SAW) ne khajoor ke darakht ki kya khususiyat batayi hai ?
A) Is darakht ke patte nahi girte
B) Is darakht ki oonchaai takabbur ki alamat hai
C) Is darakht ka phal khatam nahi hota aur har mausam mein phal deta hai
D) Munafiqeen ki misaal khajur ke darakht ke jaisi hai
Q5) Quran ki maujoodah tarteeb kya hai ?
Tauqeefi
Ajmali
Nuzooli
Mahmoodi
Q6) Jung-e-Yamamah mein _____ Huffaaz shaheed hue to Tadween-e-Quran ka aaghaz kiya gaya
30
50
70
90
Q7) Hazrat Abu Hurairah(RA) ko taqreeban kitni Ahaadith yaad thi ?
2000
3000
4000
5000
Q8) Arab mein ek taareekhi jumla mashoor hai ki "Asal ilm wohi hai jo _____________ ho"
Seenon mein
Likha liya gaya
Kitaabon mein
Dusron ko sikhaya gaya
Q9) Kis Khalifah-e-Rashid ko ye sharf haasil hua ki unhone Ummat ko ek Mushaf aur ek Qiraat per jama kiya ?
Abu Bakr(RA)
Umar(RA)
Uthman(RA)
Ali(RA)
Q10) Khajoor ke darakht ki jadein mazboot hoti hain...Isse kya murad hai ?
Momin ka Iman pukhta hota hai
Momin miljulkar rehte hain
Momin ka ilm wasee hota hai
Momin khushiyaan baanta hai
Q11) ____________ ghatta badhta hai
Iman
Islam
Amal-e-saleh
Ehsaan
Q12) Ek Sahabi ke iman ka ye aalam tha ki unko jalte hue koylon per lita diya jaata taki wo islam se phir jaayein magar wo saabit qadam rahe...unka naam ?
Huzaifa bin Yaman(RA)
Khabbab bin Arat(RA)
Bilal bin Rabah(RA)
none of the above
Q13) Kin per dakoo ki is baat ka bohot asar hua aur unhone bohot se kitaabein yaad ki "Aise ilm ka kya faayda jo kitaabon mein band hai "?
Imam Jawzi (Rh)
Muhammad bin Seereen( Rh)
Hasan Basri( Rh)
Imam Ghazali( Rh)
Q14) Jo Surah Al kahf ki pehli 10 Ayat ki tilawat Jumuah ke din karega wo kis cheez se mehfooz rahega ?
Fitna-e-Dajjaal
Fitna-e-Aulaad
Faqr-o-Faqah
Qarzdaari
Q15) Arab ke mashhoor shaayar ne Islam laane ke baad shayari chod di aur kaha ki" Quran ke baad bhi koi baat baaqi rehti hai?" unka naam bataaein
Imru al Qais
Labid bin Rabiah
Amr ibn Kulthum
Adi bin Rabiah
Q16) ilm ki aafat se kya muraad hai ?
A) Uska bhool jaana
B) Dohraane ko chod dena
C)Logon ka kasrat se fatwa poochna
D) La-shaoor logon ko sikhana