Q1) Deen mein tangi nahi se kya murad hai ?
Deen per amal karne se buraaiyan khatam hoti hain
Deen per amal karne se nekiyaan janam leti hain
Deen per amal karne se zindagi mein aasaaniyaan paida hoti hain
Deen per amal karne se insaan ko nek-naami milti hain
Q2) Humein kis field mein mehnat karni chahiye ?
ilm haasil karne mein
ilm sikhaane mein
Khidmat-e-khalq mein
Har shuba-e-zindagi mein(every walk of life)
Q3) Milllat-e-Muhammadi ki jagah Millat-e-Ibraheemi kaha gaya hai kyunki Ibraheem(AS) ko _______________________ maante the
Yahudi
Nasara
Mushrikeen
All of the above
Q4) ifk ke maani kya hai ?(Multiple answers)
Fitna-e-Munafiqeen
Gheebat
Aisi baat jismein jhoot shaamil ho
Aisi baat jiska haqeeqat se koi taaluq na ho
Q5) Hadith ke mutabiq kitne qism ke log Arsh-e-Azeem ke saaye mein honge ?
3
5
7
9
Q6) Saeed bin Musayyib ko unki khoobiyon ki wajah se kinse bohot qareeb samjha jaata hai ?
Sahabah ikraam
Taabaeen
Taba Taabaeen
Auliyaah
Q7) Sahabah ikraam ne jab ye baat suni to wo itne khush hue ki pehle kabhi na hue the...wo kya baat thi ?
Namaz Jannat mein le jaanewali cheez hai
Sadaqaat se rooh ki paakeezgi haasil hoti hai
Qarzdaar ko muhallat denewala qayamat ki sakhti se bach jaayega
Jo jiske saath muhabbat karta hai uska anjaam usi ke saath hoga
Q8) Hadd-e-Qazaf mein kitne kode lagaaye jaate hain ?
50
60
70
80
Q9) Jihaad ke lafzi maani bataaein
Jadd-o-jahad
Koshish
Ek dusre se aage nikalna
Jung karna
A and B
C and D
Q10) Allah tala kinko chunta hai ?
Jo bohot acha likhna jaante hain
Jinmein bolne ki behtereen salahiyat hai
Jo apne firqe se mukhlis hai
Jinmein Khair ho
Q11) Waqya-e-ifk kis ghazwe se waapsi ke waqt pesh aaya ?
Ghazwah Banu Mustaliq
Ghazwah Ahzaab
Ghazwah Tabuk
Ghazwah Khaibar
Q12) Takbeer-e-oola kisko milti hai ?
Jamaat attend karnewalon ko
Iqamat attend karnewalon ko
Azaan sunnewalon ko
Masjid se qareeb rehnewalon ko
Q13) Pichli Kitaabon mein apne maannewalon ka kya naam rakha tha ?
Ibraheemi
Muslim
Q14) Is waqye mein Munafiqeen ke alawa kuch Momin bhi shaamil the, unke saath kya maamla kiya gaya ?
Unhein maaf kar diya gaya
Unka boycott kiya gaya
Unper Hadd-e-Qazaf lagaayi gayi
Unhein Laan-taan kiya gaya
Q15) Hadith(mafhoom): Jisne ______________ ki hifazat ki, wo uske liye Qayamat ke din Noor,Burhaan aur Nijaat ka baaes hogi
Namaz
Sadaqah
Zubaan
Nafs