Sab se pahla haq kiska hai?
a) Doston ka
b) Khoon ke rishton ka
c) Door ke rishtedaron ka
Hadees mein aya hai ke qata'a rehmi karne wala jannat mein nahi ja sakega.
True
False
Hadees ka mafhoom hai jo shaks chahta ho ke uska rizq badh jaaye aur uski umar lambi ho to usko __________ karni chahiyr.
a) Silah rehmi
b) Achhi baat
c) nek kaam
Hadees; Badle ke taur pe rishta milanewala________
a) Rishta milane wala hai
b) Rishta milanewala nahi hai
c) Achha hai
Hadees: rishte milanewala to wo hai jab usse rishta...
a) toda jaaye to wo jode
b) joda jaaye to wo jode
c) joda jaaye to wo tode
Rasoolullah saw se rishtedaron se achha salook karnewale shaks ke apne rishtedaron ke bure salook ki shikayat karne pe farmaya agar ye sach hai to...
a) tu unke mooh mein garam raakh bharta hai
b) jab tak tum ispe qayem rahoge tere liye Allah ki taraf se ek madadgaar muqarrar kar diya jayega
c) dono jawabaat sahi hain.
Qata'a rehmi ki saza tirmizi ki hadees ke mutabik kya hai?
a) duniya me fauran saza
b) akhirat mein azab zakheera kar liya jata hai
Khaibar ke fateh ke mauqe pe Rasoolallah saw ne kis rishtedaar ki aamad ko bahot zyada khushi ka baes samjha?
a) Jafar ra
b) Ali ra
c) Talha ra
Allah ne Qur'an mein kin do tarah ke rishton ka zikr kiya hai?
a) rehem aur sasuraali
b) qareeb aur door
c) sage aur sautele
Allah ne Surah Nisa ki ayat 1 mein apni kaunsi sifat bayan ki hai?
a) Baseer
b) Nazeer
c) Raqeeb