Kin logon ko maal dene se mana kiya gaya hai?
a) Bewaqoof
b) Kamzor
c) Taqatwar
Sarparast ko kya karna chahiye?
a) Yateem ko maal na de
b) Yateem ko maal dete huwe aithdaal rakhe
c) Yateem baligh o aaqil hone se pehle maal lauta de
Kaun yateem ke maal mein se haq e khidmat le sakta hai?
a) Ameer sarparast
b) Ghareeb sarparast
c) Dono le sakte hain
Momin ke liye maal ki kya haisiyat hai?
a) Fitna
b) Zehmat
c) Falah ka zariya
Aayat 5 mein kis ki fazeelat bayan ki gayi hai?
a) Namaz
b) Maal
c) Roza
Aayat 7 mein kis ko farz kaha gaya hai?
a) Hajj
b) Nikah
c) Wirasat
Ilm ul faraiz ko kya kaha gaya hai?
a) Nisf ilm
b) Khums ilm
c) Suls ilm
Ahadeeth se humein pata chalta hai ke sabse pehla ilm jo utha liya jaayega wo wirasat ka ilm hai
a) True
b) False
Naseebam mafrooza ke kya maane hain?
a) Wo hissa jo farz kiya gaya hai
b)|Wirasat mein hissa
c) Dono sahi hain
--------- ke haq mein wasiyat jaiz nahi.
a) Waris
b) Padosi
c) Rishtedaar