Muhsinaat se kya murad hai?
a) Laundiyan
b) Kanwari ladkiyan
c) Shadishuda auratein
Hadith ka mafhoom : jo aurat paanch waqt ki namaz padhe,ramadan ke roze rakhe,apni sharmgaah aur shohar ke maal ki hifazat kare, wo...........
a) Falah pa gayi
b) Jannat ke jis darwaze se chahe daqil ho jaaye
c) Iffatwali aurat hai
Muhsineen ka opposite kya hai?
a) Zaakiraat
b) Musafiheen
c) Qaniteen
Umar ra. ke daur mein nikah e muta ki kya saza di gayi?
a) Zina ki saza
b) Chori ki saza
c) Sarzanisht ki gayi
Masajid mein gumshuda cheezon ka ailaan karwaya ja sakta hai.
a) Sahi
b) Ghalat
c) Koi harj nahi
Court marriage kis wajah se jaiz nahi.
a) Ijab o qubool nahi hota
b) Gawah nahi hote
c) Wali maujood nai hota
Khwahishat e nafs ki pairwi kise kahte hain?
a) Apni marzi karna
b) Walidain ki na manna
c) Allah se darna
Aise kaam jo halakat mein dalnewale hain unko karke insan kisko halakat mein dalta hai?
a) Doston ko
b) Dushmano ko
c) Khud ko
Chupi hui dostiyan karnewalon ki taubah qubool nahi hoti.
a) True
b) False
Hadith ka mafhoom : Jisne jaanne ke bawajood chori ka maal kharida wo.....
a) Sakht gunahgaar hai
b) Baghi hai
c) Chori ke gunah aur saza mein barabar ka shareek hai