Q1- Qaid khaane mein Yusuf(A.S) ke saath _____________ ghulam the
Do
Teen
Chaar
Q2- Yusuf(A.S) ne jail mein bhi tableegh ka kaam kiya
Sahi
Ghalat
Q3- Jail se chootne ke baad Yusuf(A.S) ke saathi ne Misr ke baadshah se....
Yusuf(A.S) ka zikr karna bhool gaye, jiski wajah se wo kaee saal jail mein rahe
Fauran Yusuf(A.S) ka zikr kiya
Q4- Ghulaamon ne khwaab ki taabeer, Yusuf(A.S) se poochi, kyunki...
Wo Taabeer karne ke liye mash-hoor the
Wo apni Seerat aur akhlaq se nek maaloom hote the
Q5- Is waaqiye se humne seekha ki insaan bure maahol mein bhi apne aapko sahi raaste per rakh sakta hai
Q6- Is Surah mein _________ ke bohot tazkire hain
Khwaab
Qatl
Q7- Khwaab sabko aate hain aur unki taabeer sabko....
Aa sakti hai
Nahi aa sakti hai
Q8- Kitaabein padh lene se Khwaabon ki taabeer karna nahi aa sakta.
Q9- Khwaab _______________ ki taraf se aa sakte hain
Allah
Shaitaan
Allah aur Shaitaan
Q10- Khwaab mein _____________ moti gaayein(cows) thi jinko dubli gaayein khaa rahi thi
Paanch
Saat