Q1. Surah Hood mein kis ka zikr aaya hai ?
Hazrat Hood (a.s)
Hazrat Ibrahim (a.s)
Bahut se anbiya (a.s) ka
Q2. Samud ki taraf kis nabi ko bheja gaya ?
Saleh (a.s)
Hood (a.s)
Shuaib (a.s)
Q3. Aam taur par jab insaan ko kisi mushkil ke baad koi ni’amat milti hai toh uska rawaiya kya hota hai ?
Allah ka shukr adaa karta hai
Dusron ki madad karta hai
Apni mehnat aur aqal se hasil ki hui samjhta hai
Q4. Kin logon ki suhbat faida mand hoti hai ?
Neek logon ki
Mohallay walon ki
Ghar walon ki
Q5. Humesha imaan lane mein jaldi koun karta hai aur kyun ?
Qaum ke elites , taaqat ki wajah se
Pisa huwa tabqah , ajizi ki wajah se
Talibe ilm , ilm ki wajah se
Q6. Allah ke taraf se ootni (she camel) nishani ke taur par kis qaum ko di gai thi ?
Qaum-e-Aad
Qaum-e-Samud
Ahle Madyan
Q7. Musa (a.s) ko kitne mu’ajze diye gae the ?
9
8
7
Q8. Kis nabi ki qaum naap taol mein kami karti thi ?
Q9. Jab farishte nawjawaan ladkon ki shakl mein Loot (a.s) ke paas aaye toh Loot (a.s) ne apni qaum ki taraf se kis baat ka dar mehsus kiya ?
Wo unhe qatal kardeyge
Wo apni betiyon ki shadi unse karne ki zid kareyge
Wo badkaar log the
Q10. Quran mein Yusuf (a.s) ke qisse ko sub qisson mein kaisa qissa farmaya gaya hai ?
Behtarin qissa
Sacha qissa
Ajeeb qissa
Q11. Yusuf (a.s) ne apne liye qaid khud chuni. Iski wajah kya thi ?
Take gunah se bach sake
Take aziz-e-misr ki pareshani dur hojae
Take jail mein tabligh kar sake
Q12. Aurtey aam taur par kab laghwiaat aur badnaami ke qise (scandals) par discussions karti hai ?
Har waqt
Chai ki dawaton mein (coffee parties)
Ilm ki majlison mein