Q1. Ohda mangna :-
Na jaiz hai
Har kisi ka haqq hai
Taqwa , bhalai aur nekiyan aam karne ke liye manga jasakta
Q2. Sacha kawab koun dekh sakta hai ?
Muttaqi shaks
Aam musalman
Koi bhi, chahe ghair muslim ho
Q3. Tawakal kis tarah hona chahiye ?
Pura bharosa Allah par kare, tadbeer (action) ki koi zarurat nahi
Tadbeer (action) karne ke baad Allah par bharosa kare
Apni tadbeer par bharosa karne se Allah par bharosa pakka hota hai
Q4. Yaqoob (a.s) ke apne beton se rawaiye mein humare liye kya sabaq hai ?
Aulaad se mayus nahi hona chahiye
Aulaad ko har tarah ki azaadi di jae
Aulaad se bepanah mohabbat ki jae
Q5. Mayusi ko kya kaha gaya hai ?
Kamzori
Kufr
Gunah
Q6. Yusuf (a.s) ke bahiyon ka kirdaar kaisa nazr ata hai ?
Waqti taur par shaitan haawi aagaya magar wapas palat gae
Khair unke dil mein maujud thi
Dono jawabat durust hai
Q7. Yusuf (a.s) ka yeh jumla “aaj tum par koi mulaamat nahi, Allah tumhe bakhshe” Nabi (s.a.w.s) ne kis mauqae par duhraya tha ?
Ghazwa-e-Uhud mein jiti hui jang harne par
Hajjatul wida’a ke mauqe par
Fateh-Makkah ke mauqe par
Q8. Yusuf (a.s) ne apne walid Yaqoob (a.s) se mulaqaat par kya kaha ?
Mere bhaiyon ne mujh par bahut zulm kiya
Mujh par bahut si azmaish ayi
Allah ke apne upar ehsaanaat batae
Q9. Mushrikeen ko kya baat ajeeb lagi ?
Mitti hone ke baad nai paidaish
Ek hi zameen se muhktalif paidawaar
Raat aur din ka ek ke baad ek ana
Q10. Momin ki misaal kis tarah di gai hai ?
Zarkhaiz zameen se
Pakeeza darkht se
Jannat ke phal se
Q11. Qissa Yusuf (a.s) bayaan hone se kya baat sabit hoti hai ?
Nabi (s.a.w.s) ki nubuwat aur Quran ka Allah ka kalaam hona
Nabi (s.a.w.s) ghaib ki khabr rakte the
Nabi (s.a.w.s) ye qissa yahudion se sun chuke the
Q12. Yaqoob (a.s) ki kounsi khoobi har mauqe par bayaan hui hai ?
Sabrun Jameel
Yusuf (a.s) se mohabbat
Apni aulad par a’atemaad
Q13. Yusuf (a.s) ko mohsin kaha gaya. Mohsin koun hota hai ?
Jo dusron ko unke haqq se zyada de
Jo apne haqq mein kami qubool kare
Q14. Ibrahim (a.s) apni aulad ke liye bhi dua mangte hai. Ismein humare liye kya sabq hai ?
Dua karne se sub kaam banjate hai
Dua ke sath tarbiyat bhi zaruri hai
Hum apni aulad ki dunya hi ki nahi balke akhirat ki bhi fikr kare