Q1. Musa (a.s) aur Khidr (a.s) ke waqiae mein ilm hasil karne ka kounsa aadab wazeh dikhai deta hai ?
Ilm hasil karne ke liye safar zaruri hai
Ilm hasil karne ke liye sabar zaruri hai
Ilm hasil karne ke liye kasrat-e-sawaal kiye jae
Q2. Asbaab ki perwi se kya murad hai ?
Ni’amaton ka zikr karna
Ni’amate paakar khush hona
Ni’amaton ka br waqt behtareen istemaal karna
Q3. Zul Qarnain ka kirdaar kaisa dikhai deta hai ?
Imaan wala, zaheen, farmabrdaar, shukrguzaar
Insaan ki bhalai ke kaam karne wale halake momin na tha
Dur ka safar karne wale take apni hukomat ka dairah badha sake
Q4. Zul Qarnain ne dewaar banana ke liye qaum se kis qism ki maddad chahi ?
Paison ka intezaam kar diya jae
Kaam karne ke liye log agae aye
Dewaar paakhi karne ke liye tanbe ka intezaam kar diya
Q5. Science aur technology mein aage badhna zaruri hai. Kis waqie se pata chalta hai ?
Zul Qarnain ke
Kidhr (a.s)
Ashaab Al-Kahf
Q6. Surah Al-Kahf ka shaan-e-nuzool kya hai ?
Sabq aamuz waqiat sunana
Tareekhi waqiat sunana
Kuffar-e-Makkah ke puche gae sawalon ke jawab dena take Nabi (s.a.w.s) ki nubuwat sabith hojae
Q7. Isa (a.s) ki paidaish ke bare mein humara kya aqeeda hona chahiye ?
Allah ke kalmia “كن” (ho ja) se mu’ajzana taur par bagair baap ke paida huwe
Baghair haml ke paida huwe
Dono jawab durust hai
Q8. Kis nabi ka naam Allah (s.w.t) ne kud bataya ?
Isa (a.s)
Zakariya (a.s)
Yahya (a.s)
Q9. Maryam (a.s) ki sakht azmaish ke baad kya ghair mamuli (unique) ni’amat aata ki ?
Aulaad ki ni’amat
Aurton par fazeelat
Sabar aur shukr ki daulat
Q10. Surah Ta-Ha ki tilaawat sun kar koun se sahabi imaan lae ?
Ali (r.a)
Umar (r.a)
Bilaal (r.a)
Q11. Isa (a.s) ko ghiar ma’muli (extra ordinary) mu’ajzaat diye gae. Isayion ne is ko kis tarah liya ?
Wo momin aur mutaqi bangae
Isa (a.s) ko afzal anbiya qarar diya
Allah ka beta keh kar inki ibaddat shuru kardi
Q12. Mu’ajza dekh kar jadugar imaan lae magar Fir’aun na laya. Ye kis baat ki taraf ishara hai ?
Fir’aun manna hi na chahta tha
Fir’aun bada zalim tha
Jadugar pehle se imaan wale the
Q13. Iblees ka sajda na karna kis wajah se the ?
Allah par yaqeen na tha
Aakhirat par yaqeen na tha
Apne aapko Adam (a.s) se behtar samjhne ki wajah se
Q14. Khashti mein surakh (hole) karne ka kya maqsad tha ?
Khashti ko zalim badshah se bachane ke liye
Khashti ke malikon ko saza dena
Ahle-e-khashti ko gunaho ke sabab duba diya jae