Q1. Khushu ka m’ana kya hai ?
Jhuk jana - dab jana - ajizi
Yaksu (concentration)
Dono jawabat durust hai
Q2. Laghw se kya murad hai ?
Aisi baat ya kaam jiska koi deeni faida na ho
Aisi baat ya kaam jiska koi dunyawi faida na ho
Aisi baat ya kaam jiska koi deeni aur dunyawi faida na ho
Q3. Surah Al-Muminoon ki ibteda mein falah pane wale muminoon ke :-
Kuch naam bataye gae hai
Sifat batai gyi hai
In’amaat bataye gae hai
Q4. Kis ka tail saaln ke taur par istemal kiya jata hai ?
Zaitoon
Sarson
Suraj mukhi
Q5. Allah pani ko kis tarah asmaan se barsata hai ?
Be hisaab
Sahih andaze se
Zameen mein pani ke tehrne ki gunjaish ke mutabiq
Q6. Muashre ko berah aur fahashi se bachane ke liye ahkamaat kis surah mein nazil huwe hai ?
Surah Al-Muminoon
Surah Al-Furqaan
Surah Al-Noor
Q7. Jo log paak daman aurton par zina ki tuhmat lagae aur char gawah na pesh kar sake toh unki saza kya hai ?
Kisi kode se mara jae
Aainda inki gawahi qubool na ki jaegi
Dono sazaen mile gi
Q8. “Ifkh” ke mauzo (suitable) m’ane kya hai ?
Jhoot
Bhutaan
Haqeeqat se ulat (opposite) baat kehna
Q9. Allah ne waqie ifkh mein Aysha (r.a) ki baraat kis tarah ki ?
Khufiya wahi ke zariye
Nabi (s.a.w.s) ka dil mutmain karke
Quran mein aayat nazil farmai
Q10. Dusron ke ghar mein jane ke liye ijazat zaruri hai. Apne ghar mein ane ka kya hukum hai ?
Ijazat leni zaruri hai
Ijazat ki koi zarurat nahi
Ghar walon ke aaram ke awqaat mein unke gharon mein ane ki ijazat leni hogi
Q11. Khimaar (odhni) ka maqsad kya hai ?
Zeenat badhana
Zeenat chipana
Aurton ke libaas ka hissa hai
Q12. Aaj kal ke design wale burqon ko khimaar :-
Kaha jasakta hai
Nahi kaha jasakta hai
Burqe ka kala hona zaruri hai
Q13. Jahiliyat ki odhni (khimaar) ke bare mein aap kya samjhte hai ?
Zeenat ko badhate the
Seeno ko nahi dhaka jata tha
Q14. Kufr ki misaal samandar ki kis cheez se di gai hai ?
Andheron
Gehraion
Khamoshion