Q1. Hazrat Shoaib ki beti ne Musa (a.s) ko kaam kaaj par muqarar karne ka mashwara diya. Kyun ?
Wo qawi aur amanatdar the
Wo nabi the
Wo beghar the unko naukri ki zarurat thi
Q2. Hazrat Shoaib ki beti ki kya khoobi nazr ati hai ?
Sharm wa haya wali
Zaheen
Dono khoobiya thi
Q3. Hazrat Shoaib ne Musa (a.s) aur apni beti ke liye kya mehr muqarar kiya ?
100 dinar
Kuch zewarat
8 saal tak Musa (a.s) ka unki khidmat karna
Q4. Kamzor tareen ghar makdhi ka hai. Kis shaks ki misaal makdhi se di gai hai ?
Mushrik
Gunahgaar
Biddati
Q5. Ye lafz kisne ghurur aur takabur mein akar kehne laga ke “mere liye ek pakka mehl tayyar karo mein Musa ke m’abud ko jhank kar dekho”
Firaun
Qaroon
Hamaan
Q6. Surah Al-Qassas mein sub se zyada bhatka huwa kis ko kaha gaya hai ?
Baat bebaat jhagadne wala
Khawishat-e-nafs ki perwi mein pada huwa
Behais karne wala
Q7. Naik log naiki se badi ko badl dete hai. Kis tarah ?
Achi baat batate hai
Apne saath burai karne walon ko maaf kar dete hai
Buri baat se rokhte hai
Q8. Allah anbiya ko kahan maboos karte hai ?
Markazi ilaqon mein
Dur daraz ilaqon mein (rural areas)
Hidayat yafta basti mein
Q9. Jab bastion wale aish-o-ishrat mein padh jate hai toh Allah unko tabah kar deta hai. Dunya wale unki tabahi ki kya wajah batate hai ?
Mausami asraat aur zameeni tabdiliya
Allah ki nafarmani
Dono jawabat durust hai
Q10. Qaroon koun tha ?
Firauni
Israeli
Qibti
Q11. Allah ne imaan walon ke liye dunya mein kya rakha hai ?
Sukoon
Azmaish
Har tarah ki ni'amat
Q12. Maa baab jab shirk ki taraf bulae toh kya karna chahiye ?
Unka hukum manna farz hai
Unka hukum na mana jae
Unse jhagda kiya jae
Q13. Aaj musalman kud deen ka mazaq udhate hai. Jannat dozak par lateefe banate hai. Mushrikeen-e-Makkah kehte the tum apna aabayi deen na chodo hum ________________________:-
Tumhe maala maal karde ge
Tumhe sazaein deyge
Akhirat mein tumhara bhoj utha leyge
Q14. Qaroon ko khush qismat tareen kis ne samjha ?
Khud Qaroon ne
Dunyawi zindagi ko chahne walon ne
Uske khandan walon ne