Q1. Kya ye baat durust hai ke “Surah Yaseen ko Quran ka dil” kaha gaya hai ?
Ji haan durust hai
Ji nahi
Ye aik man ghadat rivayat hai
Q2. Surah Yaseen ka mauzu (topic) kya hai ?
Rasoloon ki tableegh
Aakhirat mein naik aur bad logon ka anjaam
Dono jawabat durust hai
Q3. Saaf bandhna farishton ki sifat hai. Saaf bandhne ki sub se behtareen misaal kya hai ?
Chitiyan (ant) saaf baandh kar chalti hai
Namaz mein aaqa aur gulam aik hi saaf mein khade hote hai
Parinde bhi saaf band kar udhte hai
Q4. Wo koun tha jisne apni qaum ko tawheed ka dars diya, na sirf zindagi mein balke marne ke baad bhi apni qaum ki kher khawi chahi ?
Aik nabi the
Payghambaron ka himayati aik aam shakhs tha
Aik farishta tha
Q5. Yunus (a.s) ka machli ke pait mein jana aur phir nikalne mein humare liye kya sabaq hai ?
Allah ki nafarmani se bache
Allah se kabhi na umeed na ho
Jald bazi na kare
Q6. Ismael (a.s) ne ye baat kab kahi ke “aap ko jo hukum mila hai use pura kare aap mujhe sabiroon mein se paye ge” ?
Jab Ibrahim (a.s) ne unhe Makkah ke ragistaan (desert) mein choda
Jab Ibrahim (a.s) ne apne kawab ka zikr kiya jismein wo unhe zuba kar rahe hai
Tameer-e-kabah ke mauqe par
Q7. Ismael (a.s) ka kirdar behtareen tha. Iski kya wajah thi ?
Baap ki ghair maujudgi mein aajizi agai thi
Mehrumi ne unke kirdar ko banana mein ahem kirdar aada kiya
Maa ki behtareen tarbiyat ki wajah se
Q8. Ladke aur ladki ka farq :-
Mushrikana soch ki akkasi (reflection) karta hai
Allah ke nazdiq sub barabar hai
Q9. Jannation ko Allah ki taraf se kya kiya jaye ga ?
Salaam
Ahlan wa sehlan
Q10. Jab mushrikeen koi mu’ajza dekhte toh :-
Usko jadu kehte aur mazaq udate
Unke dil narm hojate
Thodi der ke liye dar jate
Q11. Dozakhion ka khana kounsa darkht hoga ?
Zaqqoom
Baeri
Neem
Q12. Ilyas (a.s) ki qaum kis boot (idols) ki ibaadat karti thi ?
Laat
Manaat
Ba'al
Q13. Jahanamion ko pine ko kya diya jae ga ?
Kholta pani
Peep
Q14. Asmaan se pani ka utarna, us se mukhtalif khetiya ugna, phir unka khushk hona, unka reza reza hona. Ismein kin logon ke liye nishaniya hai ?
Aqalmando ke liye
Musalmaano ke liye
Mushrikeen ke liye
Q15. Ayyub (a.s) ki kya baat mashoor hai ?
Bemari
Shifa
Sabar