Q1. Kis surah mein munfard (unique) tareeqe se humse ni’amaton par shukrguzaar hone ka taqaza kiya gaya hai ?
Surah Al Qamr
Surah Ar Rahman
Surah Al Hadeed
Q2. Ye kehna ke Allah har jagah maujood hai, aik ghalat aqeeda hai. Ye kya kehlata hai ?
Wahdat ul wujood
Maujoode kullu makan
Aqeeda batil
Q3. Kis ko ameer ul momineen fil hadith ka laqab mila ?
Abdullah bin Mubarak
Sufiyan Sori
Ali bin As’adi
Q4. Rehbaniyat ke baare mein Allah kya farma raha hai ?
Allah ne iska hukum aik khaas waqt mein diya tha
Ye logon ne khud ijaad ki thi
Isayiat mein rehbaniyat wajib thi
Q5. Bait-e-Mamoor mein rozana kitne farishte ibaadat ke liye ate hai ?
60 hazar
70 hazar
75 hazar
Q6. Quran mein kasrat se Allah ki tareef teen jaghon par milti hai. Aaytal kursi, Surah Al Hashr aur Surah ________________
At Tur
Al Waqiah
Al Hadeed
Q7. Jibreel (a.s) ko Nabi (s.a.w.s) ne kitni bar unki asli surat mein dekha ?
2
3
4
Q8. Ye kiska qaul hai ? “jo ye kehta hai ke Nabi (s.a.w.s) ne Allah ko dekha wo jhoot bolta hai”
Ayesha (r.a)
Abu Bakr (r.a)
Fatimah (r.a)
Q9. “لمم” (Lmum) kya hai ?
Chote gunah aur ghaltiya
Wo gunah jin par had lagai
Wo gunah jin par w’aeed ayi ho
Q10. Surah Ar Rahman ko “Oroos ul Quran” kaha jata hai ?
Ghalat
Sahih
Ye aik jhooti rivayat hai
Q11. Qayamat ke din sub log teen jamaton mein taqseem kar diye jaege. Ye mazmoon kis surah mein bayan huwa hai ?
An Najm
Al Qamr
Q12. Surah Al Hadeed ka bunyadi nuqta kya hai ?
Infaaq fi sabeel lillah
Aqaid ki durustgi
Halal haram ke ahkamat
Q13. Surah Al Hadeed mein “qarz hasana” ke bare mein farmaya gaya hai. Ye sunkar kin sahabi ne apna nihayat umdah bagh Allah ki rah mein diya ?
Abu Al Dardaa (r.a)
Abu Zar Ghaffari (r.a)
Kaab bin Malik (r.a)