Q1. Majlis ke adaab kis surah mein batae gye hai ?
Surah Al Mujadilah
Surah Al Jumuah
Surah Al Mumtahinah
Q2. Surah Al Mujadilah mein kin sahabiya ka Nabi (s.a.w.s) se takrar ka waqia bayan huwa hai ?
Khuwala bint Malik
Hamnah bint Jahash
Asma bint Abi Bakr
Q3. Nabi (s.a.w.s) se sargoshi karne se pehle kuch sadqa de diya karo. Ye hukum jald hi mansukh bhi kardiya gaya. Wo koun sahabi hai jinhone is hukum par amal kiya ?
Abu Bakr (r.a)
Ali (r.a)
Umar (r.a)
Q4. Nabi (s.a.w.s) ko bhi haram aur halal ka ekhtiyar hasil nahi hai. Iski daleel kounsi surat hai ?
Surah At Tahreem
Surah At Talaaq
Surah At Taghabon
Q5. Surah Al Hashr mein yahud ke kis qabile ka zikr hai ?
Banu Nazeer
Banu Quraiyza
Banu Qainqa’a
Q6. Agar ladne ki nobat na aye aur dushman ka kuch maal hath aye toh us maal ko kya kehte hai ?
Maal-e-ghanimat
Maal-e-hiba
Maal-e-feh
Q7. Allah ke liye mohabbat aur dushmani rakhne ki behtarin misaal sahaba kraam ne pesh ki. Musaib bin Umair (r.a) ne Jang-e-Badr mein kis ko qatl kiya ?
Apne bhai
Apne walid
Apne dost
Q8. Banu Nazeer ke pass kounsa hunar tha ?
Hathyar banate
Bartan banate
Ghar banana
Q9. “شح” Shuh kya hai ?
Bukhl
Hirs
Hirs wa bukhl
Q10. Al Mumtahinah mein kin ka imtehan lene ko kaha gaya hai ?
Musalman aurton ka
Kafir aurton ka
Wo aurtein jo Makkah se Madina hijrat karke arahi thi
Q11. Allah ki maddad karne se kya murad hai ?
Farmabardari karna
Allah ke deen ki tabligh karna
Beinteha ibaadat karna
Q12. Kitab wa hikmat ki taleem mein ‘hikmat’ se kya murad hai ?
Ahadith
Quran
Zikr
Q13. Munafiqoon ki sifat aaj hum kahan pate hai ?
Apne muashre mein
Apne andar
Dono jawabat durust hai
Q14. Qayamat ke din ko “yaum ut taghabon” kyun kaha gaya hai ?
Bahut se logon ke amal zaya kardiye jayge
Jo samjhte the ke hum kamyab honge wo na kaam hojayge