Q1. Surah An Naba mein pahad ko kya kaha gaya hai ?
Mazboot
Maikh
Duo hakle (huge)
Q2. Nabeena sahabi “Abdullah bin Umme Makhtoom ke bare mein kounsi surat nazil hui ?
An Naaziaat
Al Infitar
Abasa
Q3. Muazaz farishton ke saath koun hoga ?
Quran ki tilawat karne wale
Quran par amal karne wale
Mahir-e-Quran
Q4. Zinda ghadi ladki se kya pocha jaye ga ?
Tu kis qusor mein maari gyi
Tujhe kisne maara
Tu ab kya chahti hai
Q5. At Takweer mein kiski tareef bayan hui hai ?
Mikaail (a.s)
Jibraeel (a.s)
Israfeel (a.s)
Q6. Bure logon ka daftar kahan hai ?
Iliyeen
Sijjeen
Mutfeen
Q7. Badshah ne ‘ashabe ukhdood’ ko kya hukum diya ?
Aag mein kood jao
Mulk chod do
Qaid mein raho
Q8. Surah Al Balad mein “dushwar guzaar ghati” kis ko kaha gaya hai ?
Namaz padhna
Pul siraat
Yateem miskeen ko khana khilana
Q9. Aik naiki _________________ka rasta kholti hai.
Dusri naikion ke liye
Sachai
Sidha
Q10. Yatimi ke bawjood Aap (s.a.w.s) ke dada ko shafiq bana kar Aap (s.a.w.s) ko thikana mohiya kiya. Ye kis surat mein bayan huwa hai ?
Ad Duha
Ash Sharh
At Teen
Q11. Miskeen ko khana khilane ki targheeb na dena. Bahut bura amal hai. Kis surat mein ye mazmun aya hai ?
Al Feel
Al Quraish
Al Ma’aun
Q12. Al Asr aik jaame tareen surat hai. Ismein faide mein rehne walon ki kitni sifaat bayan hui hai ?
3
4
5
Q13. Jahannamion ko aag ke lambe lambe sutoono mein band kardiya jaye ga. Kahan bayan huwa hai ?
Al Humaza
Q14. Koun halak hogae ?
Ayb talash karne wale
Takhfeef (kami) karne wale
Dono jawabat durust hai
Q15. Jo maal jama karta hai phir gin gin kar rakta hai, wo kya samjhta hai ?
Bahut bada kaam karliya
Ye maal humesha iske pass rahega
Koi ye maal le leyga
Q16. Abraha ko kisne ye kaha tha ke ‘tu jiska ghar dhane aya hai wahi iska muhafiz hai’. Ye tera aur Allah ka muamla hai.
Abu Talib
Abu Sufiyaan
Abdul Muttalib
Q17. Nabi (s.a.w.s) par jadu kiya gaya. Allah ne thod ke liye kounsi surtein nazil ki ?
Al Falaq aur An Naas
Al Ikhlaas aur An Naas
Al Ikhlaas aur Al Falaq
Q18. Hafsa binte Siran ki kya khubi thi ?
Mahir-e-Quran thi
Bahut zaheen thi
Bahut bahadur thi
Q19. Hawze Kawsar se pani pee lene ke baad :-
Kabhi pyaas na lage gi
Kabhi garmi na lage gi
Q20. Allah ka mukammal ta’aruf kounsi surat mein hai ?
Al Ikhlaas
Al Falaq
An Naas
Q21. “Nafse Mutmainnah” kya hai ?
Jis se Allah khush huwa
Jo Allah se khush huwa
Q22. Asaan hisaab kya hai ?
Hisaab na liya jayga
Naikion ka paldha bhari hone par gunahon ki bakshish
Buraion ka paldha bhari hone par gunahon ki bakshish