Q1. Talib-e-ilm ke liye khush amdeed koun kehta raha ?
sahaba ikhram
taba'een
anbiya
Q2. Hadeeth ke mutabiq jab tak musalman Allah ki kitab aur sunnat Nabi (s.a.w.s) par jame rahenge wo :
rehmat mein rehenge
gumrah na honge
imaan ki hifazat karenge
Q3. Jo log deen sikhne aur sikhane aur Allah ka zikr karne ke liye jama ho, toh unka zikr kahan kiya jata hai ?
fuqaha ki majlis mein
ulama ki mehfil mein
muqarrab farishton ke darmiyan
Q4. Namaz ka tareeqa kahan se malum kiya jaye ?
Qur'an al kareem
Nabi (s.a.w.s) ki sunnat
seerat-e-sahaba ikhram
Q5. Sabse zyada Nabi (s.a.w.s) ke namaz ke tareeqe pe amal karne wale sahabi :-
Hazrat Abu Bakr (r.a)
Hazrat Anas bin Maalik (r.a)
Hazrat Kaab bin Rabia (r.a)
Q6. Surat Nahl ki ayat 44 mein kya kaha gaya hai ?
Nabi (s.a.w.s) rehmat ul lil alameen hai
Nabi (s.a.w.s) ka iteba'a Allah ka iteba'a hai
Nabi (s.a.w.s) ahkamat ko wazeh karne wale hai
Q7. Hadeeth ke mutabiq inkaar karne wala koun hai ?
kafir
mutakabir
Nabi (s.a.w.s) ka nafarman
Q8. Nabi (s.a.w.s) ko asmaano par bula kar kis baat ki farizat ka hukum mila ?
namaz
namaz aur roza
arkaan-e-islam
Q9. Kabat ulllah ki tameer ke mauqe par kis Nabi ne ye dua mangi thi ke "mujhe aur meri aulad ko namaz ka papand bana ?
Hazrat Ibrahim (a.s)
Hazrat Muhammed (s.a.w.s)
Hazrat Adam (a.s)
Q10. Jahannam mein jane wale, Jahannam mein dale jane ka sab se pehla sabab kya batayge ?
yateem ka maal khane wale the
namaz nahi padhte the
namaz padhne ke bawajud gunah kabirah ka irteqab karte the
Q11. Namaz farq karti hai ?
kufr aur islam mein
neek aur bad mein
alim aur jahel mein
Q12. Jannat mein Nabi (s.a.w.s) ka saath pane ka jo nuskha Nabi (s.a.w.s) ne bataya, wo kya hai ?
silah rehmi
farz namazon ki pabandi
sajdon ki kasrat
Q13. Qur'an mein namaz ke saath saath kis cheez se maddad mangne ka hukum milta hai ?
sabr
zakat
dua
Q14. Munafiq ki pehchan kya hai ?
namaz nahi padhte
dikhawe ke liye lambi lambi namaze padhte hai
namaz mein susti dikhate hai
Q15. Niyat se mutaliq mashoor hadeeth kis sahabi se marwi hai ?
Hazrat Abu Hurairah (r.a)
Hazrat Saeed Khudri (r.a)
Hazrat Umar bin Khattab (r.a)
Q16. Allah ta'la qayamat ke din ek Qari, ek Shahid aur ek Sakhi se Jahannam ki aag badhkaye ga. Iski wajah kya hai ?
badkaar
riyakaar
takabur karne wale the
Q17. Bachon ko tark-e-namaz par kis umr mein mara jae ?
7
12
10
Q18. Namaz ke waqt ek farishta kehta hai ke "logon utho aur us aag ko bujhao jisko tumne apne gunahon ki wajah se jalaya hai" Aisa kis waqt ki namaz mein kiya jata hai ?
Fajr
Asr
Har namaz
Q19. Paanch waqt ki namazon ke badle kya hasil hota hai ?
gunah sagirah se bakshish
gunah kabirah se bakshish
dono jawab durust hai
Q20. Sahih Bukhari aur Sahih Muslim dono mein maujud ahadeeth ko kya kaha jata hai ?
muttafaqun alaih
sahihain
Q21. Ahsan hadeeth mein shirk-e-kafi (dikhawa) ko kis cheez se zyada khatarnak qarar diya gaya hai ?
shirk-e-akbar
qayamat ke zalzale
fitne dajjal
Q22. Paanch waqt ki namaz papandi se ada karne wala, qayamat ke din kis ke saath hoga ?
shuhada ke saath hoga
siddiqeen ke saath hoga
Q23. Kis namaz ki pabandi Allah ta'la ki hifazat mein le jati hai ?
Isha
Q24. Wo kounsi namaz hai jiska chodna insaan ke liye jaan, maal aur aal ka nuqsaan qarar diya gaya ?
Q25. Kis namazi ke liye qayamat ke din mukamal noor ki khushkhabri hai ?
raat ki tareeki mein masjid ane wale
namaz-e-ishraq ada karne wale
namaz-e-asr bajamat ada karne wale
Q26. Akhir wasiat Nabi (s.a.w.s) ne farmai ke namaz aur apne _____________ ka khayal rakhe.
maa baab
ahel wa ayal
ghulamo aur aurton
Q27. Munafiqeen par sub se bhari kounsi namaze hai ?
Isha aur Fajr
Fajr aur Asr
Asr aur Isha
Q28. Kounsa namazi Allah ka mulaqati hota hai ?
jo taweel (long) nawafil ada kare
waqt par namaz ada kare
jo achi tarah wodhu karke aye
Q29. Gazwae-Kandaq mein kuffar ke shadid hamle ki wajah se Nabi (s.a.w.s) ki kounsi namaz faut hui ?
Q30. Jo shaks namaz-e-fajr aur namaz-e-isha bajamat ada kare, usko sawab diya jayega :-
puri raat ibadat ka
adhi raat ibadat ka
ek tihai (one third) raat ibadat ka