Q1. Jehri namaze kounsi hai ?
Fajr aur Maghrib
Fajr, Asr, Isha
Fajr, Maghrib aur Isha
Q2. Qiyam mein haath khule rakhna.
Sunnat se sabit nahi
Koi harj nahi
Sahih hai
Q3. Jehri namaz mein buland awaaz se AAMEEN kehna.
Sahih nahi hai
Guzishta gunaho se maghfirat ka ba'as hai
Halki awaaz se kehna chahiye
Q4. ________________________ ke saath namaz ka aghaaz hojata hai.
Saff bandne
Takbeer-e-Tehreema
Qiyam
Q5. Sajde tilawat mein :-
Sajde ki tasbeeh padhi ja sakti hai
Khaas du'a padhi jati hai
Dono jawabaat durust hai
Q6. Nabi (s.a.w.s) ne ek dafa kounsi surah Fajr ki dono rakaton mein tilawat farmai.
Surah Al-Ikhlaas
Surah Al-Fajr
Surah Az-Zalzalah
Q7. Namaz mein sawaliah aayat ka jawab dena kaisa hai ?
Masnoon
Makrooh
Wajib
Q8. Ek rakat mein do surte milai jasakti hai.
Bilkul jaiz hai
Jaiz nahi
Ek surah padhna behtar hai
Q9. Takbeer-e-Tehreema mein :-
Khandon tak dono haath uthana chahiye
Kaano ko haath lagana chahiye
Q10. Namaz ke liye NIYYAT :-
Dil mein kar lena kafi hai
Zabaan se kehna Nabi (s.a.w.s) se sabit nahi
Q11. Seene par haath bandte waqt :-
Baya haath (left hand) upar rahega
Daya haath (right hand) upar rahega
Koi bhi haath rakha ja sakta hai
Q12. Nabi (s.a.w.s) ne _______________ dafa farmaya jisne Surah Al-fatiha na padhi uski namaz naqis hai.
1
2
3
Q13. Qiyam mein pehle kya padha jata hai?
Sana
Tasmiya
Ta'auz
Q14. Kis sahabi ne Gazwae Khandaq ke mauqe par Nabi (s.a.w.s) aur sahaba ikhram ki mezbani ki aur barkat ka mu'jza pesh aya ?
Jaber Bin Abdullah (r.a)
Mu'az Bin Jabal (r.a)
Uthman Bin Affaan (r.a)
Q15. Ansaari imaam har rakat mein dusri surah ke saath, Surah Iklaas ki tilawat kyun karte the ?
Surah Ikhlaas choti surah hai
Surah Ikhlaas se mohabbat thi
Nabi (s.a.w.s) aisa kiya karte the
Q16. Kya lambi surat ka kuch hissa pehli aur baqi hissa dusri rakat mein padhna jaiz hai ?
Jaiz hai
Jaiz nahi hai
Puri surat padhni chahiye
Q17. سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى ka jawab kya hai ?
سبحان الله
الله اكبر
سبحان ربي الاعلئ
Q18. Teen ya chaar rakat ki namaz mein 2 rakat ke baad RAFULYADAIN karna.
Wajib hai
Sunnat se sabit hai
Q19. Nabi (s.a.w.s) ruku mein :-
Ghutno par narmi se haath rakte
Ghutno ko mazbud pakadte
Q20. RAFULYADAIN karna :-
Masnoon hai
Farz hai