Q1. Tahajjud ke liye ek neend lekar uthna :-
Zaruri hai
Zaruri nahi hai
Afzal hai
Q2. Namaz-e-Tahajjud mein kya masnoon hai ?
2-2 rakat padhna
4-4 rakat padhna
Dono tarah masnoon hai
Q3. Namaz-e-Tahajjud mein Rasool Allah (s.a.w.s) ka zyada tar ma'mul kitni rakat padhne ka tha ?
8 rakat nafil aur 3 witr
8 rakat nafil aur 1 witr
10 rakat nafil aur 3 witr
Q4. Saliheen ki rawish aur Allah se qareeb ka zariya kya hai ?
Faraiz ki pabandi
Sunnat muakida ki pabandi
Tahajjud ki pabandi
Q5. Allah tala kab asmaane dunya par nuzool farmata hai ?
Har Peer ki raat
Har Jumeraat ki raat
Har raat
Q6. Tahajjud :-
Gunnaho ke mitne ka zariya hai
Gunnaho se bachne ka zariya hai
Dono jawabaat durust hai
Q7. Jab insaan sojata hai toh shaitan uske sar ki guddi (nape of the neck) par kitni girae (knots) lagata hai ?
3
4
5
Q8. Nabi (s.a.w.s) jab Tahajjud ke lye uthte toh kya tilawat farmate ?
Surah Mulk
Ale-Imaran ki akhiri 11 ayaat
Al-Baqarah ki akhiri 2 ayaat
Q9. Nabi (s.a.w.s) ki tahajjud ki namaz kaisi hoti ?
Taweel (long)
Mukhtasar (short)
Kabhi taweel kabhi mukhtasar
Q10. Allah tala har raat farmata hai ke "koi hai jo mujh se bakshish mange aur mein usko bakshish do" ye Allah kab farmata hai ?
Isha ke waqt
Fajr ke waqt
Jab 1/3 raat baqi reh jae
Q11. Nabi (s.a.w.s) ne Sahaba Ikhraam ko kitne din Namaz-e-Taraweh bajamaat padhai ?
5 din
3 din
7 din
Q12. Kis sahabi ka taluq aise qabile se tha jo jahiliyat mein lut mar ke liye mashoor thi ?
Abu Hurairah (r.a)
Abu Zar Ghaffari (r.a)
Abu Ayoob Ansari (r.a)
Q13. Namaz-e-Taraweh ka waqt Isha ke fauran baad hai.
Sahih
Ye afzal waqt hai
Isha se lekar tuluh Fajr tak hai
Q14. Taraweh mein Quran dekh kar padha jasakta hai. Iski daleel kya hai ?
Hafza (r.a) ke ghulam padha karte the
Koi daleel maojud nahi
Ayesha (r.a) ke ghulam padha karte the
Q15. Kitne din se kam waqt mein Quran kareem khatam karna napasandida amal hai ?
7
Q16. Jisne Ramadan mein imaam ke saath Isha aur Taraweh ada ki uske liye kitna sawab likha jaega ?
1/2 qiyam ka
1/3 raat qiyam ka
Sari raat qiyam ka
Q17. Ek raat mein Quran khatam karna "Shabeenah" kaisa amal hai ?
Khilaafe sunnat
Masnoon
Afzal
Q18. Namaz-e-Taraweh ki masnoon rakat 8 hai aur ghair masnoon rakaton ki tedad kitni hai ?
16
20
Koi hadd nahi, jo jitni chahe padhe
Q19. Namaz-e-Tahajjud ki kam se kam aur zyada se zyada masnoon rakat kitni hai ?
7 aur 13
5 aur 15
9 aur 17
Q20. 2 ya 4 Taraweh ke baad waqfe ka ahtemam karna chahiye.
Masnoon hai
Sunnat se sabit nahi