Q1. Sub se zyada ahadeeth rivayat karne wale sahabi koun hai ?
Abu Bakr (r.a)
Bilaal (r.a)
Abu Hurairah (r.a)
Q2. Hadeeth mein ata hai ke roza naam hai :-
Khane peene se rukne ka
Behuda aur fahash kamo se rukne ka
Dono durust hai
Q3. Roze ka kaffara hai :- 1* 60 muhtajon ko khana khilana 2* 1 ghulam azaad karna 3* 2 mah ke musalsal roze rakhna inki sahih tarteeb kya hai ?
1-2-3
2-1-3
2-3-1
Q4. Roze ki halat mein buraion se bachne se kya faida hasil hoga ?
Aam dino mein bhi buraion se bachenge
Roze ke ajr mein kami na ki jaegi
Q5. Agar rozedar ko koi gali de toh kya karna chahiye ?
Apni halat badl le (khade ho toh bait jae)
Keh de ke "mein roze se hoon"
Dono jawab durust hai
Q6. Roze mein miya biwi ka taluq qaim hojae toh :-
Qaza roza rakhna hoga
Kaffara ada karna hoga
Qaza aur kaffara dono lazim hai
Q7. Hadeeth mein ata hai ke roza ________________ hai.
Neeki hai
Dhaal hai
Pabandi hai
Q8. Nabi (s.a.w.s) ne roze mein biwi se sohbat karne wale sahabi ke saath kaisa rawaiyya akhtiyar kiya ?
Sakht naraz huwe
Majlis se nikalne ka hukum diya
Narmi ka rawaiyya akhtiyar kiya
Q9. Roze mein biwi ka bhosa lena :-
Jaiz hai
Makrooh hai
Shehwat par qabu rakhne wale ke liye jaiz hai
Q10. Abu Hurairah (r.a) kab imaan lae :-
Hijraat se pehle
2 hijri mein
7 hijri mein
Q11. Jaan bujh kar roza thodne se :-
Qaza lazim hai
Kaffara dena hoga
Dono lazim hai
Q12. Roze ki halat mein wodhu ke liye kya ehtiyaat karni chahiye ?
Pura wodhu kare
Naak mein halaq tak paani na chadhae
Unglion ke darmiyan khilal na kare
Q13. Haiza par namaz ki qaza nahi jabke roze ki qaza hai :-
Ye baat ajeeb malum hoti hai
Dil mein shak paida hota hai
Deen mein maujod aise muamlaat par shak nahi karna chahiye
Q14. Jaan bujh ke qae karne se :-
Roza toot jata hai
Roza nahi toot-ta
Qaza ki zarurat nahi
Q15. 12 baje ke baad haiz aye toh :-
Roza mukammal karna chahiye
Khane peene se parhez behtar hai
Roza mukammal karne ka koi faida nahi