Q1. Pehli ummato par zakat ________________________ thi :-
Mustahab
Farz
Farz nahi
Q2. Surah Maryam mein kis payghambar ke bare mein aya hai ke wo apne ghar walon ko namaz aur zakaat ki takeed farmate the ?
Ibrahim (A.S.)
Ismael (A.S)
Isa (A.S)
Q3. Allah ki rehmat hasil karne ke liye :-
Faraiz ki pabandi zaruri hai
Zakaat ada karna zaruri hai
Nawafil ki kasrat zaruri hai
Q4. Zakaat ada karna ____________________ ki nishaani hai :-
Maal se mohabbat
Maal se nafrat
Imaan
Q5. Zakaat ada karne se daulat mein _____________________
Barkat hoti hai
Izzat hoti hai
Barkat aur izafa hota hai
Q6. Zakaat ki adaigi ka hukum Quran mein zyada tar kis farz ki adaigi ke hukum ke saath aya hai ?
Namaz
Roza
Hajj
Q7. Islam ke kisi ek rukn ko na manna :-
Bande ko Islam se kharij kar deta hai
Kamaz kam dusre arkan ki papandi ki jae
Koi harj nahi
Q8. Zakaat ke behtar fawaid hasil karne ke liye :-
Ijtemai taur par jama kiya jae
Inferadi taur par ada kiya jae
Dono hi tarah behtar hai
Q9. __________________________ ke baad nizaam zakaat ka nifaz farz hai.
Musalman hukumat ke qiyam
Musalman hukumat par kafir hukumat ke qiyam
Kisi bhi hukumat ke qiyam
Q10. Umar Bin Abdul Aziz (R.A) ke daur mein zakaat kis tarah karch ki gai ?
Kasrat se ghareebo ko di gai
Falahi kaamo par lagai gai
Kasrat se ghulam azaad kiye gae
Q11. Kya cheez tauq banakar qayamat ke din gale mein dali jaegi ?
Hajj ki istetaat rakhne ke bawajod, hajj na karne wale ka maal
Be-namazi ki ada na ki gai namaze
Jis maal par zakaat ada na ki gai ho
Q12. Zakaat ki shart :-
Baligh hona
Aaqil hona
Sahibe nisab hona
Q13. Jab log zakaat ka maal lekar Rasool (s.a.w.s) ke pass ate toh Aap (s.a.w.s) :-
Unko nasihat farmate
Unko tohfe dete
Unke maal mein khair-o-barkat ki dua dete
Q14. Zakaat dene wala agar zyada zakaat khushi se de :-
Jaiz hai
Bais-e-Ajr hai
Q15. Zakaat ki shart :-
Hallal maal se ada karna
Maal ka ek shamsi saal tak jama rehna
Ramadan ki amad