Q1. Rasool (s.a.w.s) ne muashio ki zakaat lene ke liye hukum diya ke :-
Tahseel dar logo ke ghar jae
Log muashi lekar tahseel dar ke paas aye
Koi wazeh usool nahi diya
Q2. Zakaat mein kaisa maal lena chahiye ?
Umdah
Kharab
Awsat darje ka
Q3. Sone ki zakaat wajib hai :-
Pehanne wale zewarat par
Rakhe huwe zewarat par
Dono par wajib hai
Q4. Saal mukammal hone se pehle zakaat :-
Ada nahi ki jasakti
Zakaat ada nahi hogi
Ada ki jasakti hai
Q5. Zakaat ke maal mein kayanat karne wala qayamat ke din _____________________ mein maal uthae huwe ayga.
Apne haatho
Apni gardan
Apni peet
Q6. Zakaat kahan taqseem karna afzal hai ?
Jis jagah se usool ki gai ho
Dusri jagah bhejna behtar hai
Dono tarah afzal hai
Q7. Jawaherat (gems) par zakaat di jaegi ?
Agar wo zewarat par jade ho
Agar maal-e-tijarat ke taur par ho
Har haal mein di jaegi
Q8. Amil-e-zakaat ko tohfa :-
Le lena chahiye
Nahi lena chahiye
Koi harj nahi
Q9. Sone ka nisaab kitna hai ?
7 tole
7 1/2 tole
6 tole
Q10. Chandi ka nisab kitna hai :-
32.5 tole
72.5 tole
52.5 tole
Q11. Ghulamo aur _____________________ par zakaat nahi :-
Ghodon
Unton
Bailo
Q12. Nisab se kam sona aur chandi ko milakar zakaat dena :-
Sunnat se sabit nahi
Sunnat se sabit hai
Afzal hai
Q13. Sone ki zakaat :-
Sone hi se ada ki jae
Naqd (cash) se ada ki jae
Dono tarah ki jasakti hai
Q14. Kitne unton par zakaat wajib hojati hai ?
5
10
8
Q15. Mushtarik karobar mein kis tarah zakaat ada ki jaegi ?
Har ek ke karobari hisse ke mutabiq
Har ek ko barabar ada karni hogi
Zyada hissa, dekhne wale ko ada karni hogi