Q1. Hijrat-e-Madina ke dauran Rasool (saws) ka guzar kin ke khaime se huwa ?
Umme Hani
Umme Ayman
Umme Muabd
Q2. Aap (saws) ki paidaish waqie feel ke kitne din baad huwi ?
15
25
50
Q3. Shaqe sadr ka waqia kab pesh aya ?
12 saal
8 saal
4 saal
Q4. 16 saal ki umr mein Aap (saws) ne kis muahide mein shirkat farmai ?
Hilf ul Fuzool
Hilf Bait Allah
Hilf Mazlum
Q5. Hajre Aswad ko kaabatullah mein nasb karne ka hakeemana faisla Aap (saws) ne kis umr mein farmaya ?
35
45
Q6. Islam ki pehli hijrat kahan ki gai ?
Yemen
Habsha
Taif
Q7. Wo ummul momineen jo sirf 3 mahine Aap (saws) ke saath reh kar wafat pagae ?
Zainab Bint Khuzaima (ra)
Umme Salma Bint Umaiya (ra)
Saudha Bint Zamah (ra)
Q8. Abu Bakr (ra) ne Rasool (saws) ke wafat ke waqt kis surat ki tilawat ki ?
Al Baqarah
Ale Imran
Al Muzammil
Q9. Nabi (saws) ne kitne saal tak khufiya tableegh ki ?
2 saal
3 saal
Q10. Kis sahabi ko Rasool (saws) ne rukhsat karte huwe farmaya ke "hosakta hai ke aaj ke baad tum mujhe dobara is masjid mein na dekh sakoge"
Abu Bakr (ra)
Muaz Bin Jabal (ra)
Abu Zar Ghaffari (ra)
Q11. Nabi (saws) ne hajjatul wida ke mauqe per kiska sood maaf farma diya ?
Abbas (ra)
Hamza (ra)
Abu Sufyan (ra)
Q12. Nabi (saws) ne wafat se pehle khutbe mein musalmano ke kis fitne mein padh jane ke andeshe ka izhar kiya ?
Shirk
Ghuroor
Dunya talbi
Q13. Abu Bakr (ra) ne Nabi (saws) ki beemari ke dauran Masjid Nabawi mein kitni namaze padhai ?
17
21
Q14. 12 Rabi-ul-awwal :-
Tareeqe paidaish
Tareeqe wafat
Dono jawab durust hai
Q15. Nabi (saws) ne wafat ke waqt kis rukn ki khas takeed farmai ?
Roza
Namaz
Zakat
Q16. Rasool (saws) ne Masjid Nabawi mein khulne wale kis sahabi ke ghar ke darwaze ke alawa sub darwaze band karne ka hokum diya ?
Umar (ra)
Ali (ra)
Q17. Nabi (saws) ne khass kar kis tabqe ke liye wasiyat farmai ?
Loundi ghulam
Masakeen
Ghurba
Q18. Nabi (saws) ko kis ghazwae ke mauqe per yahoodi aurat ne zehrila khana khilaya tha, jiska asar wo wafat ke waqt mehsus kar rahe the ?
Ghazwa Banu Mustalaq
Ghazwe Tabuk
Ghazwe Khayber
Q19. Shaam ki taraf jo lashkar Rasool (saws) ne rawana farmaya uske sippasalar koun the ?
Usama Bin Zaid (ra)
Zaid Bin Harisa (ra)
Sulaiman Farsi (ra)
Q20. Rasool (saws) ki hum urm ummul momineen :-
Saudha (ra)
Hafsa (ra)
Khadeeja (ra)