Q1. Hadeeth ka mafhum hai ke jis tarah ______________ sari dunya ki aurton par afzal hai. Us tarah Khadeeja (ra) apne daur ki sub aurton per afzal hai.
Maryam Binte Imran (as)
Hawa (as)
Umme Musa
Q2. Ye kis ummul momineen ne farmaya ke "Mujhe Nabi (saws) ki biwion mein se Khadeeja (ra) per sub se zyada rashk ata hai. Kyu ke Rasool (saws) sub se zyada unka zikr aur tareef farmate the"
Juweriya (ra)
Saudha (ra)
Ayesha (ra)
Q3. Khadeeja (ra) ka maher kya te paya tha ?
20 unt / 500 gold coins
10 unt / 250 gold coins
40 unt / 1000 gold coins
Q4. Ummahatul momineen mein se sub se pehle kis ko Jannat ki basharat di gai ?
Khadeeja (ra)
Mariya (ra)
Q5. Shaibe Abi Talib mein Khadeeja (ra) ne bahut musibaate bardashat ki. Ye muhasra kitne saal tak raha ?
2 saal
3 saal
4 saal
Q6. Pehli wahi ke baad jab Rasool (saws) ghar laute toh wo kya farma rahe the ?
Mujh par paani dalo
Mujhe bachao
Mujhe kambal udhao
Q7. Hadeeth :- "Dunya faida uthane ki cheez hai aur us mein behtarin mat'a ____________________ hai.
Naik aulad
Naik shuhar
Naik biwi
Q8. Jahiliyat mein bhi sharm wa haya ka pekar hone ki wajah se Khadeeja (ra) ko kis khitab se nawaza gaya ?
Tahira
Kubra
Jamila
Q9. Warqah Bin Nawfal ne pehli wahi ki tafsil sunkar kaha ke ye wahi kalam hai jo us se pehle ________________ per utara tha.
Isa (as)
Musa (as)
Ibrahim (as)
Q10. Jange Badr ke mauqe per qaidion ke fidya mein ayi huwi kya cheez dekh kar Nabi (saws) aab deeda hogae ?
Khadeeja (ra) ka haar
Khadeeja (ra) ka taj
Khadeeja (ra) ki chodiya