TAHARAH COURSE (FINAL PAPER)

Description

Purification is half of faith
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 6 years ago
1083
0

Resource summary

Question 1

Question
1. Taharat haasil karne walon ko Allah (SWT) pasand karta hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 2

Question
2. الطهور شطر الايمان :-
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 3

Question
3. Islam ki ye khoobi deegar mazahib per sabse badi hai ki Islam pakizi ki taleem deta hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 4

Question
4. Isaaeeyat (Christians) mein paak rehna aur paaki haasil karna pasandidah amal hai
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 5

Question
5. Ehle-Madinah ki taareef ki gayi is bina per ki wo paani se taharat haasil karte the.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 6

Question
6. Daawat-e-Deen ke liye paaki ikhtiyaar karne ki takeed ki gayi hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 7

Question
7. Aap (SAW) ne farmaya “Pwaaganda – baal rehna, shaitaani fail hai”
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 8

Question
8. Allah ke rasool (SAW) ne taharat ke masaael khutba mein irshaad farmaaya.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 9

Question
9. Munkireene-Hadees taharat se mutallik ahadees ko lekar hadees ka inkaar karte hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 10

Question
10.Ghusl ke liye neeyat ke saath dua padhni bhi zaruri hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 11

Question
11.Wuzu (taharat) karne se haath aur paaon ke kabeera gunnah maaf hojaate hain.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 12

Question
12.Taharat namaz ki kunji (key) hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 13

Question
13.Peshaab ke chhinton se gaflat baratne per azaab-e-Qabr hota hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 14

Question
14.Paani agar apna rang ya zayka badal de to paak hojaata hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 15

Question
15. Mazi kharij hone se ghusl waajib hojaata hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 16

Question
16. Mayyat ko ghusl dene ke baad ghusl karna waajib hai.
Answer
  • Sahih
  • Galat

Question 17

Question
17. Ek khatoon, haalat-e-janaabat mein hai, bachche ko sakht bhook lagi hai to
Answer
  • a) Wo pehle wuzu karegi aur bachche ko doodh pilaayegi
  • b) Uske liye pehle ghusl karna zaruri hai
  • c) Wo bagair wuzu doodh pila sakti hai

Question 18

Question
18. Khatoon A raat ki duaaein padhna bhool gayi aur ab wo haalat-e-janaabat mein hai to
Answer
  • a) Wo bagair padhe so jayegi
  • b) Wo pehle wuzu karegi
  • c) Wo duaaein padh sakti hai

Question 19

Question
19. Aapke bachche ne Quran uthaya aur Quran neeche girne ka khatra hai, aap haalat-e-haiz mein hai to
Answer
  • a) Aap kisi dusre fard ko awaaz dengi ki Quran pakad lo
  • b) Aap pehle wuzu karengi phir pakdengi
  • c) Aap khud bachche ke haath se Quran le lengi

Question 20

Question
20. Sakht sardi ka mausam hai, khatoon A ne wuzu karke socks pehen rakhe hain. Ab wo dobara Rafa-e-haajat se faarigh hokar namaz ke liye
Answer
  • a) Apne socks utarkar wuzu karegi
  • b) Apne socks per masah karegi
  • c) Dono jawabaat durust hai

Question 21

Question
21. Khatoon B haalat-e-janaabat mein hai, curfew laga hai aur paani maujud nahi
Answer
  • a) Unke liye namaz maaf hogi
  • b) Wo paani ka intezaar karegi
  • c) Wo tayyammum karke namaz ada karegi

Question 22

Question
22. Khatoon A ne roza rakha, neeyat bhi karli, Maghrib ki azaan se do ghante pehle unhein haiz aa geeya to
Answer
  • a) Azaan tak kuch nahi kha sakti
  • b) Unka roza mukammal ho jayega
  • c) Unhein us roze ki qaza ada karni hogi

Question 23

Question
23. Khatoon B haalat-e-janaabat mein sehri ke liye uthi lekin waqt aisa hai ki sehri khaaye to ghusl ka waqt nahi to
Answer
  • a) wo sehri kha legi, ghusl baad main karegi
  • b) wo ghusl karegi kyunki haalat-e-janaabat mein roza nahi rakha jaa sakta
  • c) wo roza hi nahi rakhegi

Question 24

Question
24. Khatoon A, Asar ki namaz, aankh lag jaane ki wajah se waqt per ada nahi kar sake. Jab neend se bedaar hui to unhein haiz aa gaya to
Answer
  • a) Unper se Asar ki namaz saaqit ho jayegi (namaz padhna zaruri nahi)
  • b) Taharat haasil karne ke baad, wo Asar ki namaz padhegi
  • c) Dono jawabaat durust hain

Question 25

Question
25. Haalat-e-haiz mein ye kaam nahi kiye jaa sakte :-
Answer
  • a) Duaaein aur zikr-o-azkaar
  • b) Roza, namaz, hajj, zakaat, miya-biwi ka taaluq
  • c) Namaz, roza, tawaaf, sohbat

Question 26

Question
26. Haalat-e-haiz mein taharat ke baad agar miya-biwi ka taaluq qayam ho jaaye to kaffara
Answer
  • a) 1 dinar
  • b) Nisf (half) dinar
  • c) Kuch bhi nahi
Show full summary Hide full summary

Similar

TAHARAH COURSE {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH KAHAF {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-9}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-17}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-6}
Asiya Abdul Raoof
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-11}
Asiya Abdul Raoof
Alamate Qayamat {TEST - 3}
Asiya Abdul Raoof