NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}

Description

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof about 9 years ago
3595
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Isha aur Fajr ki namaz ke liye masjid mein na ana kis cheez ki alamat hai ?
Answer
  • Takabur
  • Nifaq
  • Kufr

Question 2

Question
Q2. Wodhu karte huwe kis ne bura, zulm aur zyadati ki ?
Answer
  • Aza sahih tarah na dhone wala
  • Aza teen bar se zyada dhone wala
  • Dono jawabat durust hai

Question 3

Question
Q3. Kin ke liye Jannat ke sare 8 darwaze khol diye jate hai ?
Answer
  • Wodhu ke baad shahadat dene wala
  • Achi tarah wodhu karne wala
  • Wodhu se pehle masnoon dua padhne wala

Question 4

Question
Q4. Jo log namaz aur aqamat ke baad bhi gharon se masjid ki taraf na aye toh, Nabi (s.a.w.s) unke liye kya chahte hai ?
Answer
  • Unse kabhi baat na kare
  • Unpar jurmana lagae
  • Unpar shaded narazgi ka izhaar kiya

Question 5

Question
Q5. Wo kya amal hai, jiski wajah se Nabi (s.a.w.s) ne Jannat mein apne agey agey Hazrat Bilal (r.a) ke jutoon ki aahat khawab mein suni ?
Answer
  • Tahiyyat al masjid ada karna
  • Tahiyyat al wodhu ada karna
  • Nawafil ki kasrat

Question 6

Question
Q6. Taik lagae baghair, ungh ane se wodhu toot jata hai ?
Answer
  • Galat
  • Naya wodhu karna behtar hai
  • Sahih

Question 7

Question
Q7. Wodhu mein chothai 1/4 (one fourth) sar ka masah kafi hai ?
Answer
  • Sahih
  • Galat
  • Mardon ke liye kafi hai

Question 8

Question
Q8. Farz namaz mein, kami ko pura karne wali kya cheez hai ?
Answer
  • Nawafil
  • Sadqa
  • Husne aklaaq

Question 9

Question
Q9. Ek wodhu se ek se zyada namaze padhi jasakti hai :-
Answer
  • Sahih
  • Galat
  • Naya wodhu karna behtar hai

Question 10

Question
Q10. Khilaaf-e-sunnat namaz ka natijah kya hai ?
Answer
  • Fasaad
  • Ikhtelaafat
  • Qayamat mein na kaami

Question 11

Question
Q11. Kisi ki taraf rukh karna aur qareeb hona kis lafz ka laghwi ma'ana hai ?
Answer
  • Namaz
  • Salat
  • Du'a

Question 12

Question
Q12. Jab koi namaz padhta hai toh apne rabb se :-
Answer
  • Sargoshi karta hai
  • Dar raha hota hai
  • Dekh raha hota hai

Question 13

Question
Q13. Namaz mein kis tarah kadhe ho ?
Answer
  • Ankhey band karke Allah ka tassaur qaym kare
  • Farmabardar gulam ki tarah
  • Dunya wa mafiha se ba khabr hokar

Question 14

Question
Q14. Namaz kis zubaan ka lafz hai ?
Answer
  • Urdu
  • Turk
  • Farsi

Question 15

Question
Q15. Namaz mein zeenat akhtiyar karna kaisa amal hai ?
Answer
  • Ghair zaruri
  • Pasandidah
  • Satr ka kayal rakhna kafi hai

Question 16

Question
Q16. Ihraam ki halat mein mardon ka namaz ke dauran kandhe dhankna zaruri nahi hai :-
Answer
  • Galat
  • Sahih
  • Makruh

Question 17

Question
Q17. Namaz ke dauran aurat ka kitna hissa khula reh sakta hai ?
Answer
  • Chehra aur haath ke panje
  • Chehra aur paaon ka panjah
  • Dono jawabat durust hai

Question 18

Question
Q18. Khawateen, namaz ke silsile mein sub se zyada laparwahi kis muamle mein barti hai ?
Answer
  • Dihaan lagane mein
  • Qible ruk hone mein
  • Satr ke muamle mein

Question 19

Question
Q19. Kis sahabi ke namaz ke dauran rone aur soze tilawat ki wajah se log unke ghar ke bahar jama hojate the ?
Answer
  • Bilal (r.a)
  • Ammar bin Yasir (r.a)
  • Abu Bakr Siddique (r.a)

Question 20

Question
Q20. Banda Allah se sub se zyada qareeb kab hota hai ?
Answer
  • Namaz mein
  • Ruku mein
  • Sajde mein
Show full summary Hide full summary

Similar

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof