Q1. Rasool (saws) kiMadina amad ke waqt Yahood ke kitne qabile Madinah mein abad the ?
2
3
5
Q2. Aus aur Khazraj kis ke qabail the ?
Mushrikeen Makkah
Yahood
Ansaar
Q3. Ayat mein anbiya ko jhutlane ki kya do wajuhat batai gai hai ?
Laparwahi aur Takabur
Takabur aur Khawhishat nafs
Laparwahi aur Khawhishat nafs
Q4. Khawhishat nafs ki perwi karne walon ko kis ghade mein dala jaega ?
Hawiya
Adn
Wail
Q5. "Humare dil ghilaf mein band hai" ye kis ka jumla hai ?
Nasara
Mushrikeen
Q6. Bani Israel apne Yahood qaidi bhaiyon se kya sulook karte the ?
Unki taraf se fidya ada karke unhe chudhate
Unke fidye ko haram samjhte
Unse fidya lekar khate
Q7. Yahood Rasool (saws) ko kis tarah pehchante the ?
Jaise koi apne bhai ko pehchanta hai
Jaise koi apne dost ko pehchanta hai
Jaise koi apne bete ko pehchanta hai
Q8. 'Kitab ke kuch hisse ko manna aur kuch ka inkar karna' kaisa hai ?
Jaiz hai
Koi harj nahi
Na jaiz hai
Q9. Kitab ko mazboti se pakadhne se kya murad hai ?
Kitab ko girne na dena mazboti se pakadhna
kitab ki azmat ki wajah se unchi jagah per rakhna
Kitab ke ahkamat per chalna
Q10. "Unhe bachde ki mohabbat pila di gai" isse kya murad hai ?
Unhe bachde ka ghosht pasand tha
Unke dilon mein bachde ki mohabbat rach bas gai thi
Unko bachda palna pasand tha