Q1) Quran se aam Musalmanon ka jo mamla hai uske liye Ayat mein kya lafz istemaal hua hai ?
Muazziz
Mahjoora
Kareem
Q2) Nek bandon ka Allah tala ne in Aayaat mein kya naam liya hai ?
Swaliheen
Muhsineen
Ibadullah
Ibadur Rahman
Q3) Jab Walidain aur Awlaad Jannat ke mukhtalif darje haasil karenge to unko ek jagah jama karne ke liye kya maamla kiya jayega ?
Awlaad ko walidain ke darje ata kiye jayenge
Walidain ko awlaad ke darje ata kiye jayenge
Kam darjewalon ko buland darje ata kiye jayenge
Buland darjewalon ko kam darje ata kiye jayenge
Q4) Nabi(SAW) ne un Soorton ke baare mein kya farmaya jinmein Qayamat ki holnaki ka naksha khincha gaya hai ? "Mujhe Hood aur uski behnon ne ___________ "
Dara diya
Boodha kar diya
Sahma diya
Q6) Ayat mein nek log jab apni awlaad ko nekiyaan karte dekhte hain to unhein kya cheez haasil hoti hai ?
Khushi
Tamaniyat(Satisfaction)
Aankhon ki thandak
Q6) Nabi(SAW) Allah tala se Qayamat ke din kya kahenge ?
Meri Ummat ne Quran ko thaam rakha tha
Meri Ummat ne Quran ko chod diya tha
Meri Ummat ne Quran ka Haqq ada kar diya
Q7) Arab log kis muhaavre ko bad-dua ke taur per istemaal karte the ?
Tumhari aankhein garam hon
Tumhari aankhein andhi ho jaaye
Tumhari aankhein apnon ko tarse
Q8) Hazrat Ayesha(RA) farmaati hain ki "Acha akhlaaq ka hona bhi ________________ hai"
Haya
Bohot mushkil kaam
Rahem dili
Q9) Hadith "Har Deen ki ek numaya khoobi hoti hai, Islam ki numaya khoobi ___________ hai"
Dua
Salam
Q10) Sahih opposite kya hai ?
Riba------Begharzi
Riba--------Tohfa
Riba--------Zakah
Q11) Kis kirdaar ke saath Allah tala ne Haya ka lafz istemaal kiya hai ?
Asiya zawje Firaun
Umm Moosa
Moosa(AS) ki behen
Bint-e-Shuaib
Q12) Islam khudgharzi se bachana chahta hai, jabki __________ khudgharzi paida karta hai
Riba
Lain-dain
Kaarobaar
Q13) Inmein se kya cheez Riba nahi hai ?
Qarz mein diye gaye paison ko badha kar dena
Kaarobar mein nafa nuqsan ka hona
Ghatiya maal ke badle acha maal lena
Q14) Wo kaunsa jazba tha jisne Asiya zawje Firaun ko pehli khatoon bana diya jisne kisi bache ki parwarish ka zimma liya ?
Beawlaadi
Raham dili
Sila Rehmi
Q15) Sood ki hurmat per kitni Ahaadith mawjood hai ?
20
30
40
50