Q1) Ayat ko jhutlaane se kya muraad hai ?
Quran ko bilkul na padhna
Padhna magar samajhna nahi
samajhna per amal na karna
All of the above
Q2) Jis tarah murghe ki skin utaar di jaati hai usi tarah Qayamat ke din kya cheez dikhai degi ?
Aasmaan
Zameen
Pahaad
Samandar
Q3) Samandar aur dariya ke paani Qayamat ke din kaise honge ?
Sailaab ho jayenge
Aag se bhadak uthenge
Khushk ho jayenge
Aabi makhlooq ko bahar phenk denge
Q4) Qayamat ke roz log apne Aamaal ke mutabiq kis cheez mein doob jayenge ?
Paseene mein
Dukh mein
Paani mein
Khoon mein
Q5) Allah jisse bhalai ka irada karta hai to use kya ata karta hai ?
Maal, taki wo Allah ki raah meim kharch kar sake
Deen ki samajh boojh
Logon ke kaam aane ki fikr
Bada uhda jisse wo dusron ko faayda dein
Q6) Log kyu Yateemon, Miskeenon aue Qaidiyon ko khana khilaate hain ?
Log shukrguzaar hon
Log unke kaam karein
Riyakari
Allah ke chehre ke liye
Q7) Nafq-al-Awwal(pehle soor) ke baad kya hoga ?
Sab ladne lagenge
Sab dehshat -zada ho jayenge
Sab mar jayenge
Sab apni Qabar se nikalkar maidaan-e-Hashr mein jama ho jayenge
Q8) Quran mein Quran ke alawah kisko Furqan aur Noor Kaha gaya hai ?
Injeel
Zaboor
Tawrah
Suhoof-e-Ibrahim
Q9) Pehli Wahi ki amad per Hazrat Khadijah(RA) ne Aap(SAW) ko tasalli dete hue Aap(SAW) ki kis khoobi ka zikr kiya tha ?
Aap(SAW) Allah ke shukrguzar bande hain
Aap(SAW) bhookon ko khana khilaate hain
Aap(SAW) Sabr karnewale bande hain
None of the above
Q10) Allah ke deedar ke husool ke liye Rasool(SAW) ne kin Namazon ko waqt per ada karne ki taqeed ki ?
Fajr aur Zuhr
Fajr aur Asar
Fajr aur Maghrib
Fajr aur Isha
Q11) Kaafir Qayamat ke din kya kahenge ?
Kaash main nek Aamaal kar leta
Kaash main Imaan le aata
Kaash main Mitti hota
Kaash main Jaanwar hota
Q12) Insaan se pehle Quran ko kis cheez ke saamne pesh kiya gaya tha ?
Pahad
Q13) Sabse badi nemat jo Jannatiyon ko milegi ?
Jannat ke wasat mein ghar
Jannat ka libaas
Farishton ki mezbaani
Allah ka deedaar
Q14) Insaan ko janwar se tashbeeh kyu di gayi hai ?
Aapas mein ladte hain
Kaan hote hue bhi sunte nahi hain
Sirf khaane ki fikr karte hain
doosron ke kaam nahi aate