Q1. Shihabum-mubeen ke zariye kya kaam kiya jata hai ?
Shaiyateen ko maar bhagana
Asmaan ko khubsoorat banana
Zameen ko dhsana (pressed down)
Q2. Aaj dunya wale azaab-yafta jagahon ko kis nazr se dekhte hai ?
Ibrat ki nazr se
Culture ko sarhate hai
Unki buraiyon par gaur karte hai
Q3. Ladkion ki paidaish ko Mushrikeen-e-Makkah mayub samjhte the. Aaj humara rawaiya kya hai ?
Humare yahan bhi ladka ladki ka farq kiya jata hai
Ladka ladki ka farq nahi kiya jata
Ladkion ki paidaish par log khush hote hai
Q4. Pahadon ko banane ka kya maqsad bataya ja raha hai ?
Zameen ki khubsoorti badhana
Kuch janwaron ke rehne ki jagah
Zameen ka balance qaim rakhna
Q5. Ghurur karne walon se jab pucha jata hai ke Allah ne kya nazil kiya hai, toh unka jawab kya hota ?
Pehlon ki kahaniya hai
Hume kuch samjh nahi aaya
Ye ajeeb baatein hai
Q6. Jehez Fatmi se jehez dene ki daleel se aap kya samjhte hai ?
Sarasar ghalat hai
Thoda jehez diya jasakta hai
Zarurat ki chnd cheeze di jasakti hai
Q7. Islam ki pehli hijrat kis taraf hui ?
Habsha
Madina
Taif
Q8. Quran majeed ki tafseer bagair hadith ke mumkin nahi :-
Malum nahi
Ghalat
Sahih
Q9. Surah An-Nahl mein Allah (s.w.t) kis ka zikr kasrat se farma rahe hai ?
Apni ni’amaton ka
Azaab-yafta qaumon ka
Kainaat ki nishanion ka
Q10. Sawari ke liye istemal hone wale janwaro ko zeenat kyun kaha gaya hai ?
Khubsoorat hote hai
Insaan ko mehnat sikhate hai
Faida mand aur symbol of status hote hai
Q11. In sari ni’amaton ke zikr ke baad Allah insaan ko kya sabq deta hai ?
Shirk chod do
Farmabrdar aur shukr guzaar raho
Dono jawabat durust hai
Q12. Shahd ki makhkhi (honey bee) ko dekh kar hume kya sabq milta hai ?
Dur daraz ka safar kare aur kainaat par gaur fikr kare
Kahin bhi jae wapas ghar laute
Har lamha Allah ki farmabrdari mein guzare
Q13. Shahd ki makhkhi (honey bee) ko wahi karne se kya murad hai ?
Programing sikhayi
Khalis salahiayte aata ki
Ghaib ki baatein batae
Q14. Kuch halal cheeze yahudion par haram kardi gai thi. Kyun ?
Allah ki marzi, jo chahe haram kare
Allah unko azmana chahta tha
Unki sarkashi ki wajah se, saza ke taur par haram thi