Q1. Qasr ke kya ma'ane hai ?
Aadha karna
Kami karna
Peeche le jana
Q2. Hadeeth mein qasr namaz ko Allah ki taraf se ________________________ qarar diya gaya hai.
Aasani
Rukhsat
Sadqa
Q3. Qasr namaz kis surat mein padhi jati hai ?
Halate Kauf (Jang)
Halate Safar
Dono surton mein
Q4. Musafir ki tareef kya hai ?
Jo shaks dur ka safar kare chahe ek shaher/gaw ke andar hi rahe
Jo shaks apne shaher/gaw ki abaadi se bahar nikal jae
Jo shaks tijarat ki gharz se nikle
Q5. Rasool (s.a.w.s) ne qasr ke liye kitni musafat (travelling) muqarar farmai ?
9 mile
36 mile
Koi qa'te (absolute) musafat muqarar nahi farmai
Q6. Rasool (s.a.w.s) ne qasr ke liye kitni muddat muqarar farmai ?
10 din
12 din
Q7. Zuhr ke waqt safar shuru karna ho toh Zuhr aur Asr ki namaze kis waqt jama ki jaegi ?
Zuhr ke waqt
Asr ke waqt
Dono tarah kiya jasakta hai
Q8. Maghrib ke waqt, Maghrib aur Ishaa ko jama karna kya kehlata hai ?
Jama Taqdeem
Jama Takheer
Jama Salatain
Q9. 2 namaze bajamaat jama karne ka masnoon tareeqa kya hai ?
1 azaan aur 2 iqaamat di jae
2 azaan aur 2 iqaamat di jae
1 azaan aur 1 iqaamat di jae
Q10. Safar mein WITR ada karni chahiye ?
Sahih
Galat
Sunnato ki tarah WITR chodne mein bhi koi harj nahi
Q11. Jame masjid mein namaz ada karne wala musafir dusron ke saath namaze Jumu'ah ada karsakta hai.
Jee haan
Jee nahi
Qasr namaz ada karna behtar hai
Q12. Zuhr se pehle safar shuru karna hoga toh Zuhr aur Asr ki namaze kis waqt jama ki jaegi ?
Maghrib se zara pehle
Q13.Safar ke dauran koun koun si namaze jama ki jasakti hai ?
Asr aur Magrib
Maghrib aur Ishaa
Fajr aur Zuhr
Q14. Safar mein bajamaat namaz ki koi ahmiyat nahi hai.
Waqt bachane ke liye infiradi namaz padhna behtar hai
Q15. Safar mein :-
Farz aur witr padh lena kafi hai
Sunnate nafil ka darja rakhti hai
Dono jawabaat durust hai
Q16. Sawari mein namaz padhne ke liye qible ka kya mu'amla kiya jaega ?
Agar mumkin ho toh sawari ka rukh qible ki taraf kar lena chahiye
Agar mumkin na ho toh sawari jis rukh par ho usi rukh par namaz ada karli jae
Q17. Safinah, Bahri jahaaz, Hawai jahaaz, Rail ghadi waghaira mein farz namaz ada karna :-
Na-jaiz hai
Jaiz hai
Makrooh hai
Q18. Nabi (s.a.w.s) ne Fateh-Makkah ke mauqe par 18 din tak Makkah mein qiyam ke dauran:-
2-2 rakate padhae
Namaze Maghrib ke siwa 2-2 rakate padhae
Zuhr, Asr aur Ishaa mein 4-4 rakate padhae
Q19. Sawari mein farz namaz :-
Mumkin ho toh khade hokar padhi jae
Baith kar padhi jae
Q20. Makkah mein musafir muqtadi ko muqeem imaam ke peeche :-
Puri namaz ada karni chahiye
Qasr namaz ada karni chahiye
Jis tarah bhi padhe koi harj nahi