Q1. Gandom ka nisab kitna hai ?
20 maan
25 maan
30 maan
Q2. Taza angoor ki zakat kis tarah di jati hai ?
Taza angoor se
Kishmish se
Dono tarah ada ki jasakti hai
Q3. Qudrati zarae se serab hone wali zameen ki zakat kitni ada ki jati hai ?
1/10 hissa
1/5 hissa
1/20 hissa
Q4. Masnawi zarae se serab hone wali zameen ki zakat kitni ada ki jati hai ?
Q5. Zameen ki paidawaar par zakat kab di jati hai ?
Har qamri saal
Har 6 mahine baad
Har fasal ki katai par
Q6. خرص ka kya mana hai ?
Andaza lagana ( to estimate )
Ginna ( to count )
Tolna ( to measure )
Q7. Karobaari niyaat se kharidi gai zameen par zakat kab ada ki jaegi ?
Har saal
Kharidte waqt
Baechte waqt
Q8. Inmein se kis cheez par zakaat ada karni hogi ?
Farm animals
Factory ki machines
Shehad ( honey)
Q9. Inmein se kis par zakaat wajib nahi ?
Dafan shuda khazane ke milne par
Kaan (mine) ki amdaani par
Zaati ghar par
Q10. Kitne unton par ek bakri zakaat ada ki jati hai ?
5 - 24
4 - 24
4 - 25
Q11. Koi shaks nisaab se kam maal hone ke bawajud zakaat dena chahe toh :-
Ijazaat hai
Ijazaat nahi
Makroh hai
Q12. Kitni gaion aur kitni bakrion par zakaat wajib hai ?
20 gae aur 40 bakriya
30 gae aur 25 bakriya
35 gae aur 40 bakriya
Q13. Gaion aur bhaison ki sharhe zakaat :-
Gaion ki zyada hai
Bhaison ki zyada hai
Dono ki barabar hai
Q14. Tijaarti gharz se pale gae janwar agar malik ke kharch par guzara karte ho toh unki zakaat :-
Wahi hai jo dusre janwaro ki hai
Aadhi hai
Unki amdani par zakaat hai
Q15. Zaati istemaal ki cheezon par zakaat :-
Wajib hai
Wajib nahi
Zarurat se zyada par ada karni hogi