Q1. Khilafat Umar (ra) mein Quran ki kya khidmat ki gai ?
Quran ko ek mushaf per jama kiya gaya
Quran ki ek qirat raij hui
Kisi bhi uhde ke liye Quran ki taleem ko qabiliyat qarar diya gaya
Q2. Gazwae Badr mein Umar (ra) ne Aas Bin Hashim ko qatal kiya, ye rishte mein aap ke koun the ?
Bhai
Mamo
Chicha
Q3. Umar (ra) ki ghirat (hamiyat) kis ke liye thi ?
Zulm ke khilaf
Islaam ke liye
Silah rehmi ke liye
Q4. Umar (ra) aksar _________________ ke bare mein sawal karte yahan tak ke uski hurmat ki aayat nazil hogai ?
Sharab
Juwa
Sood
Q5. Umar (ra) ne kis jagah ke liye khawhish ka izhaar kiya ke wo namaz ke liye khaas karli jae aur Allah ne uske bare aayat nazil farmadi ?
Hateem
Masjid Quba
Muqame Ibrahim
Q6. Umar (ra )ne kisse farmaya ke "aap ka Islaam lana mujhe mere baab ke Islaam lane se zyada mehboob hai kyu ke Rasool (saws) ko aap ka Islaam lana bahut mehboob hai" :-
Abu Talib
Abbas (ra)
Hamza (ra)
Q7. Rahib ko dekh kar Umar (ra) kyu ro padhe ?
Rahib bahut budha tha
Rahib beemar tha
Rahib ki sakht mehnat uske koi kaam nahi aygi
Q8. Kis mauqe par Umar (ra) bahut bechain the ?
Sule Hudaebiya
Misaqe Madinah
Fateh Makkah
Q9. Umar (ra) ne subse pehle apni zameen Allah ki rah mein waqf ki. Wo zameen kahan thi ?
Madinah
Khaybar
Makkah
Q10. Umar (ra) ke saath kitne logon ne hijrat Madinah ki ?
20
30
40