1. Talha (RA) ka laqab kya tha ?
A) Talhatul Fayyaz
B) Talhatul Khair
C) Talhatul Jawaad
D) All of the above
2. Talha bin Ubaidullah(RA) ki nau(9) biwiyon mein se kitni mukhtalif Ummahatul Mumineen ki behnein(sisters) thi ?
A) 2
B) 3
C) 4
3. Rasool Allah (SAW) ne Ghazwa e Ohod mein bahaduri se Nabi (SAW) ka difa karne per Talha(RA) ko farmaya ki "Talha (RA) meri Ummat ke chalte phirte _________________ hain"
A) Mujahid
B )Ghazi
C) Shaheed
4. Talha(RA) ko Badri Sahabi hone ka sharf kyu haasil hua ?
A) Wo Maidane Badr mein bahaduri se lade
B) Rasool Allah(SAW) ne unko Shumal(North) ki taraf khabargiri ke liye bheja tha.
C) Wo bimari ki wajah se Ghazwe mein shareek na ho sake the.
5. Zubair bin Awwam(RA) Rasool Allah (SAW) ke rishte mein kaun the?
A) Phoopi Zaad
B) Chacha zaad
C) Khala zaad
6. Umar(RA) ki shahadat ke baad Khalifa ke intekhab(selection) mein Zubair bin Awwam(RA) kis ke haqq mein dastbardar(quit) hue ?
A) Ali (RA)
B) Usman(RA)
C) Talha (RA)
7. Zubair(RA) ka laqab kya tha ?
A) Fayyaz
B) Hawwari-e-Rasool(SAW)
C) AlKhair
8. Kis mauqe per Zubair(RA) ne sab se behtereen aur muazzaz jhanda(flag) uthaya ?
A) Fatah Makkah
B) Ghazwa e Ahzaab
C) Ghazwa e Yarmook
9. Talha(RA) ki shahadat se pehle zakhmi haalat mein dekhkar Ali(RA) ne kis surah ki Aayat tilawat ki ?
A) Surah Taha
B) Surah Mariyam
C) Surah Mulk
10. Zubair bin Awwam(RA) kis number per Islam laaye ?
A) 5
B) 10
C) 15