Q1. Qurbe qayamat ki ek nishani hai ke ___________________ ki amwat kasrat se hongi.
Uluma
Talibe ilm
Science daan
Q2. Ilme deen ka uth jana aur ______________ ka aam hona qurbe qayamat ki nishani hai.
Kitabon
Jahalat
Ilmi muqablon
Q3. Rasool (saws) ne farmaya ke waldain ki nafarmani qayamat ki nishani hai. Is hadeeth mein kis surah ki ayat tilawat ki ?
Noor
Furqan
Luqman
Q4. Aurat ka apna malik jane se kya murad hai ?
Haml zaya karwana
Kam bache janna
Nafarman aulad
Q5. Rasool (saws) ne farmaya ke _____________ cheezon ka ilm Allah ke alawa kisi ko nahi (mafatihul gaib)
3
5
7
Q6. Ilme deen uthne ki kya wajah batai gayi hai ?
Uluma ka takabur
Uluma ka dunyawi zehn
Uluma ki amwat
Q7. Log fitno ke daur mein dajjal ki tamana kyun karenge ?
Take qayamat jald qayam ho
Dajjal dunyawi khushali laega
Justaju ki wajah se
Q8. Fitno ke daur mein sabr karna aag ke angare ko mutti mein lene jaisa hoga. Aise mein sabr karne ka ajr kitne admion ke barabar hoga ?
10
20
50
Q9. Qurbe qayamat fitne itne shaded honge ke _______________ log _____________ per rashk karenge.
Zinda - murdon
Ilm wale - jahilo
Ameer - gareebon
Q10. Teen fitno ke bare mein Rasool (saws) ne farmaya ke ye fitne qareeb qareeb kuch na chodenge. Isse kya cheez murad hai ?
Deen - imaan
Tandrusti
Khushali