Q1. Koun log namaz padhne ke bawajud burai aur fahshai se nahi bachte ?
Jo namaz ko ek rasm (ritual) ki tarah aada karte hai
Jo namaz ke aadab aur sharayit ki papandi nahi karte
Dono tarah ke log
Q2. Quran hurf ba hurf hifz kar liya jata hai. Iski wajah ye hai ke :-
Ye Quran ka khaas aijaz (quality) hai
Hafiz bahut naik log hote hai
Ustaad bahut mehnat se hifz karwate hai
Q3. Quran mein Quran ko kya kaha gaya hai ?
Rehmat aur nasihat
Aajiz karne wala
Dono jawabat durust hai
Q4. Kafir azaab ko jaldi mangrahe hai. Uske bawajud azaab nahi aaraha. Kyun?
Unmein kuch naik log bhi hai
Abhi unke amal aise nahi ke unpar bheja jae
Allah ka tareeqa hai ke unko muhlat di jarahi hai
Q5. Dunya aakhirat ki kheti hai uske bawajud ise khel tamasha kyun kaha gaya hai ?
Insaan khel kood ka shoqeen hai. Ismein bahut sa waqt zaya kar deta hai
Kafiron ka tikana Jahannam hai
Ghafil log ismein lagkar asal tikhana aakhirat ko bhul jate hai
Q6. Mushrikeen-e-Makkah jab musibat mein phaste toh Allah ko pukarte the. Aaj qabr parst, qabr walon ko pukarte hai. Is tarah kis ka shirk zyada bura hai?
Mushrikeen-e-Makkah ka
Qabr parston ka
Q7. Allah par jhoot bandne se kya murad hai ?
Aisi baat kehna jiska hukum Allah ne nahi diya ho
Aisi baat ka inkaar karna jiska Allah ne hukum diya ho
Dono jawabat dursut hai
Q8. Surah Ar-Room mein Ahle Room ka tazkira hai. Wo log koun the ?
Mushrikeen
Isaayi
Musalmaan
Q9. Sood ko Allah ghatata hai. Kis cheez ko badhata hai ?
Farz zakaat
Nafl sadaqaat
Har tarah ka infaaq-fi-sabeellilah
Q10. Hazrat Luqman ne apne bete ko jo nasihate ki usmein humare liye kya sabaq hai ?
Hum apni aulaad ki tarbiyat achi kare
Aulaad se bahut si umeede lagai
Tarbiyat-e-aulaad mein auliyat (preference) aakhirat ki kamyabi ko de
Q11. Gadhe ki awaaz ko badtar awaaz kaha gaya hai. Kyun ?
Karkhat (stern) awaaz hai
Unchi awaaz hai
Awaaz mien koi khubsoorti nahi
Q12. Islam mein muh bhole bete aur sage bete ke huqooq aik jaise hai ?
Sahih
Ghalat
Maloom nahi
Q13. Hazrat Luqman ko Allah ne kya cheez aata ki thi ?
Hikmat
Lambi umr
Ghaib ka ilm
Q14. Matti se insaan ko banaya gaya hai. Is se kya murad hai ?
Adam (a.s) ki takleeq mathi se hui thi
Insaan jo khata hai mathi ki paidawar hai
Q15. Hazrat Luqman ne apne bete ko namaz qaim karne ke alawa aur kya nasihat ki ?
Achai ka hukum dene aur burai se rokne ki
Musibat par sabr karne ko kaha
Dono ke alawa aur bhi bahut si nasihate ki
Q16. Shirk zulmon azeem hai. Is se kya murad hai ?
Allah ki zaat se na umeed hona
Allah ka haqq na dena
Allah ka haqq kisi aur ko dena