Q1. Allah (s.w.t) ne kis cheez ki qasm kha kar farmaya ke :- "Jo shaks waqt par namaz ada karega mein usko Jannat mein dakhil karonga"
Asmaano
Farishton
Apni izzat wa jallal
Q2. Sahaba Ikhram aksar kehte the ke "Allah aur uska rasool zyada jante hai". Ye kis baat ki alamat (symbol) hai ?
La-ilmi
Ta'zeem wa takreem (respect)
Dono options durust hai
Q3. Namaz-e-Zuhr ka awwal waqt kya hai ?
Jab suraj nisf-un-nahar par ho
Saya qad ke barabar hojae
Saya dugna hojae
Q4. Fazeelat ka waqt ____________________ waqt hai ?
Awwal
Ikhtiyaari
Jawazi
Q5. Jab suraj ayn tuluh ho raha ho, buland ho raha ho ya ghuroob ho raha ho toh :-
Namaz na padhi jae
Mayyat na dafnai jae
Dono jawabat durust hai
Q6. Asmaan par jab surkhi khatam hojae, (suraj dhalne ke baad) ye kis namaz ka waqt hai ?
Isha ka awwal waqt
Maghrib ka awwal waqt
Isha ka akhiri waqt
Q7. Jibreel (a.s) ne Nabi (s.a.w.s) ko do mutawatir din, kis waqt par namaze padhai?
Namazon ke awwal waqt par
Namazon ke akhiri waqt par
Q8. Namaz-e-Asr ka akhiri waqt kya hai ?
Suraj dhal jae
Q9. Jawazi waqt __________________ waqt hai.
Jaiz
Na pasandida
Q10. Safr mein jama' taqdeem aur jama' takheer (do namazon ko milana) ki jasakti hai.
Fajr aur Zuhr ko milaya jae
Zuhr aur Asr ko milaya jae
Asr aur Maghrib ko milaya jae
Q11. Khawab mein azaan ka tareeqa kin sahaba ikhraam (r.a) ne dekha ?
Abdullah bin Zaid (r.a) & Umar (r.a)
Abu Bakr Siddique (r.a) & Umar (r.a)
Othman (r.a) & Abu Bakr Siddique (r.a)
Q12. Azaan ka lughvi ma'na kya hai ?
Khabardar karna
Khubsurat awaaz
Pur asar pukar
Q13. Khawab mein azaan ka tareeqa bataya jana kya zahir (show) karta hai ?
Aksar ahkamaat khawab mein nazil huwe
Azaan Allah ki taraf se hai
Q14. Qayamat ke din, kin logon ki gardane unchi hogi jo unko numaya kar rahi hogi ?
Muazin
Imaam
Namazi
Q15. Shaitan kis ki awaaz sunkar peet pher kar bhaag jata hai ?
Azaan
Iqamat
Azaan aur iqamat
Q16. Azaan se pehle durood padhna kaisa hai ?
Masnoon a'mal hai
Sunnat se sabit hai
Sunnat se sabit nahi hai
Q17. Kis mauqe par Bilal (r.a) ko Nabi (s.a.w.s) ne Kabbat ullah ki chath par chadkar azaan dene ka hokum diya ?
Fateh Makkah
Gazwae Badr
Bait-e-rizwaan
Q18. الصلاة خير من النوم ke alfaaz Fajr ki azaan mein kab shamil kiye gae ?
Umar (r.a) ke daur mein
Abu Bakr Siddique (r.a) ke daur mein
Nabi (s.a.w.s) ke daur mein
Q19. Azaan ka jawab, azaan hi ke alfaaz dohrana hai.
Sahih
Bidaat hai
Siwae chand kalimaat ke
Q20. Apne nafs ko janchne (check) ka behtareen tareeqa ye hai ke hum :-
Azaan ka jawab dete hai ya nahi
Azaan se pehle durood padhte hai ya nahi
Azaan-e-Fajr sunkar humara rawaiya kya hota hai